لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

SAJJAD SAKINA KI MAYYATH KO UTAHTHE HAIN

ARIF RAZA2020
ShiaNohaLyrics
Kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hoga Aur khoon bhara kurta woh jism se chipka tha Kya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) ka Yeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Bahna bahna kah kar, seene se lagate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Nazkeed Sakina (sa) kay Sajjad e (as) hazee’n aaye Chehre peh nazar padte he lab peh yahi laye Is aalam e ghurbat main kya kya hain sitam dhaye Sub bibiyo’n ko Abid (as), nazdeek bulate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Doobi huyi nabze’n hain aur jism bhi thanda hai Aur maut ka bachchi kay mathe peh paseena hai Need aayi use kaise takiya na bichona hai Sajjad e (as) hazee’n lab per, faryad yeh late hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Woh sham e ghareeba’n se soyi thi kaha’n bachchi Lagta hai yahi hum ko shayad use need aayi Zinda’n kay andhere se itni thi woh ghabrayi Aye meri bahen uththo, Sajjad (as) jagate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Uf pyas ki shiddat se yeh haal e Sakina (sa) tha Lab sookhe huway uske murjhaya hua chehra Kamsin thi magar us par aalam tha zaeefi ka Yeh marsiya bachchi ka, Sajjad (as) sunate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hoga Aur khoon bhara kurta woh jism se chipka tha Kya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) ka Yeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Zainab (sa) ne kaha ro kar deedar zara kar lu’n Kulsoom (sa) bhi aajao aur tum bhi rabab aao Aur dekh lo jee bhar kay ik baar Sakina (sa) ko Abid (as) abhi bachchi ko, turbat main chipate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain Chalke huway hain aansu kohram hai ik barpa Kano se suna jisne bhi haal Sakina (sa) ka Bibi kay masyaeb main hai dard bhara itna Aijaz ka yeh nauha, arif jo sunate hain Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain