لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaash abbas na maare jate

Adeel Raza2017
ShiaNohaLyrics
Kaash abbas na maare jaate..(2) 1. Dono baazu wo shehenshah e wafa ke thaame laashe abbas pe shabbir buka karte the bhai tum baad hamare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 2.Is tarha lagti na akbar ke kaleje pe sina is tarha hoti na sadaat ke khaimo'n mein fugha yu na zainab ke sahare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 3. Kaash hote to utha laate alamdaar ki laash saath shabbir ke dafnate alamdaar ki laash gar na zainab ke dulare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 4. Gardan e shaah pe yu rann mein na khanjar chalta yu na khursheed e imamat sare maqtal dhalta yu na sar naizo'n pe saare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 5. Hote abbas to chinti na rida zainab ki paao'n mein abid e muztar ke na bedi dalti taziyane bhi na maare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 6. Hoke paband e rasan sayyede sajjad chale neher ko dekhke rote hue yeh kehne lage sab watan saath hamare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 7. Hote abbas e dilawar to na khaime jalte shaam e ghurbat na sakina ko tamache lagte goshware na utare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 8. Kabhi chehra kabhi baazu kabhi seena peeta qaidkhane se watan aayi to zainab ne kaha din na yu ghum mein guzare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 9. Aaj bhi aati hai ye qabr e sakina se sadaa aye chacha aati na zindaan mein humko yu qazaa saath gar hum bhi tumhare jaate Kaash abbas na maare jaate..(3) 10. Haale karbal jo koi puchta tha noore ali roke zainab yehi deti thi sada noore ali Kaash abbas na maare jaate.. Kaash abbas na maare jaate..(3)