لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Woh Karbala ki Shaam hai

Afroz (Azhar Abbas)2012
ShiaNohaLyrics
Woh karbala ki shaam hai-8 Jis per hai zulm o jaur ki---2 Har intehaa tamaam Woh karbala ki shaam hai 1.) Woh Shaam jisko kalbe pareshaan kaha gaya Woh shaam jisko shaame gariba kaha gaya Woh shaam hai Husain ki-2 Bekas behen ke naam 2.) Woh shaam jiske rukh se tapakti thi bebasi Woh shaam jisme aale nabi be rida hui Woh shaam jispe rote-2 Rahe umr bhar imam 3.) Woh shaam jisme lut ta raha ghar Husain ka Kunba tadap raha tha shahe mashrakain ka Zulmo sitam ki aag me-2 Jalte rahe khayaam 4.)Woh sham jo ki aale Mohammed ke waaste Khole hui thi saare musibat ke raaste Jisko dia naseeb ne-2 Rone ka sirf kaam 5.) Woh shaam jisme kitne muqqadar bigadh gaye Bhai,behen se maao se bache bichadh gaye Deti thi zindagi bhi-2 Jaha maut ka payam 6.) Woh shaam jisme aadmi haiwaan bangaya Aale nabi ke bugz me shaitaan bangaya Woh zulm bhi kie ke jo-2 The fitratan haraam 7.) Woh shaam jispe ek qayamat guzar gayi Lamho me kitni sadiyo ki aafat guzar gayi Woh shaam jisme zulmo-2 Sitam hogaya tha aam 8.) Woh shaam jisme lut gaya qunba rasul ka Lamho me khaak hogaya gulshan batul ka Jisme koi kisi ko bhi-2 Karta nahi salam 9.) Woh shaam jisme thokare khaati thi bibiyaa Gurbat pe apni roti thi Zehra ki betiyaa Jiske Naseeb me hai-2 Faqat aasu o ke jaam 10.)Purse me har yatim ko milti thi ghudkiaa Baandhi gayi thi baazue Zainab me rassiyaa Jisme hua na aale-2 Mohammed ka ehteraan 11.) Khanjar gale pe sholo ki zad per makaan the Mehmaan karbala ke ajab mezbaan the Khaane ka intezaam na -2 Paani ka intezaam 12.)Irfan khune dil se yeh nauha likha gaya Us shaam ke naseeb me rona likha gaya Din bhar jo dekhti rahi-2 Piyaaso ka katle aam