لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Taboot uth raha hai

Afroz (Azhar Abbas)2018
ShiaNohaLyrics
Sar peeto rozadaro'n jibreel ki sada hai Damade mustafa ka taboot uth raha hai..... (1) Muljim ke laadle ne maara hai murtuza ko Marqad me chain kyunkar ab aaye Fatema ko Hangaam ka hai aalam kaisa ghazab huwa hai taboot uth raha hai.. (2) Sajde me tegh khayi Allah ke vali ne Li taziyat ajal se haider ki zindagi ne Haider pe hai musibat Tauheed ghamzada hai taboot uth raha hai.. (3) Bechain hain khadija bechain hain payambar Binte asad lahed se nikli huii hain bahar Imraan ka gharana be aas ho raha hai taboot uth raha hai.. (4) Hasnain nange sar hain zainab tadap rahi hain Kulsum muztarib hain tasveere gham bani hain Abbas par ye sadma geheraata jaa raha hai taboot uth raha hai.. (5) Dil ko hila rahe hain ummul banee'n ke naale Fizza jigar ko apne kis tarha se sambhale Dono'n jahan ka maula soowe jina'n chala hai taboot uth raha hai.. (6) Har ek ko mujtaba ke daste amee'n me deke Abbas ko kiya hai Shabbir ke hawale Ahmad ke janshee'n ki nazro'n mein karbala hai taboot uth raha hai.. (7) Abdullah aur muslim hai jaa'n balab alam se fat-ta hai unka seena is dilfigaar ghum se kyu kar na ho wo girya zere kafan chacha hai taboot uth raha hai.. (8) Ek pal nahi hai raahat ashaab e bawafa ko kaise karein wo rukhsat maula e ambiya ko azme malaeka mein mehshar bapa hua hai taboot uth raha hai.. (9) Kaunain ke ghumo se ye ghum azeemtar hai is waaste hi logo 'afroz' nauhagar hai ye ghum rahe salamat ghumkhwar ki dua hai taboot uth raha hai..