لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Band e kafan

Ahmed Raza Nasiri2023
ShiaNohaLyrics
Maamta jab mayyat e Zahra ko tadpane lagi lab hile, mayyat ke "aaja laal" farmane lagi Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa Maa teri muntazir hai mere laal aa bhi jaa aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 1. Mamta hai kya ye koi bhi pehchanta nahi maa mar chuki hussain, magar maamta nahi tadpa na maamta ko, gale se mujhe laga aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 2. Taqat nahi hai ab to dil e beqarar mein phaile hai mere haath tere intezar mein ghurbat mein kaise jaungi, tujhse mile bina aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 3. Marne ke baad bhi meri aankho mein noor hai rukhsat meri muhaal hai, tu mujhse door hai roki hui hai sirf teri chaah mein qaza aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 4. Jee chahta hai aaj mai, tujhko duaein du padh kar durood mai teri gardan ko choom lu yeh akhri kalaam hai, hona hai phir juda aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 5. Uski mujhe khabar hai sitam jo sahega tu karbobala ke dasht mein pyasa rahega naize pe hoga sar jo tera woh mujhe dikha aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 6. Saaso se mera ab koi rishta nahi raha meri to pasliyo'n se bohot khoon beh chuka ab aur seh na paungi mai koi karbala aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 7. Aisa kabhi na koi tera imtehan ho be dum na tere saamne kadiyal jawan ho leja hussain maa ki yeh hasrat bhari dua aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa 8. Yasir kisi ki maa ko yeh sadma nahi mile Ahmed kabhi na maa koi bete se yu kahe jaise Batool e paak ne odhe kafan kaha aaja hussain aa Bande kafan ko todke kehti hai Fatima aaja hussain aa