لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sada e husain o akbar

Ahsan Manglori2012
ShiaNohaLyrics
Betaa.. Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) Ran me akbar se bole shahe karbala Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) Babaa.. Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) ye ishare se akbar ne ki ilteja Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) 1. Betaa.. Jante sab hai zehra ka jaaya hu mai fir bhi inke liye kyu paraya hu mai tumko maloom kya hai mere laadle kis qadar thokre khake aaya hu mai kuch batao ke tumpar guzarti hai kya ghum se seene me dil phat raha hai mera Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) 2. Babaa.. Thokre aap khaye qayamat hai ye mere jiteji kaisi azeeyat hai ye kya karu apni halat se majboor hu maut nazdeek hone ki halat hai ye kya batau ke mujhpar guzarti hai kya mere seene me barchi ka phal hai gadha Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) 3. Betaa.. Beta apne sarhane bithao mujhe apne haalat kuch to batao mujhe khich lunga mai seene se barchi ka phal zakhm kaisa hai beta dikhao mujhe haath tumne kaleje pe kyu hai dhara ghum se seene me dil phat raha hai mera Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) 4. Babaa.. Kaise kehdu ke maine pukara nahi aapse badhke kuch mujhko pyara nahi zakhm dekhenge to dil tadap jaega aap tadpe ye mujhko gawara nahi haath maine kaleje pe yu hai dhara mere seene me barchi ka phal hai gadha Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) 5. Betaa.. Jism me ab tawanai baqi nahi naaz tha jispe wo  bhai baqi nahi kuch sahara nahi meri tanhai ka budhi ankho me binai baqi nahi tum na bole to ye baap mar jaega ghum se seene me dil phat raha hai mera Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) 6. Babaa.. Aap tanha hai ya shahe jinno bashar mai zaeefi me banta sahara magar saans lena bhi dushwar hone laga khatm hone ko hai zindagi ka safar dum nikal jaega ek pal me mera mere seene me barchi ka phal hai gadha Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) 7. Betaa.. Jaan aur dil se hai tumpe waari puphi janta hu tumhe bhi hai pyari puphi fikr me sab tumhari pareshan hai der se muntazir hai tumhari puphi haay khaime me jakar batau mai kya ghum se seene me dil phat raha hai mera Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2) 8. Babaa.. Haa puphijaa ki mujpe nawazish bhi hai akhri mere dil ki ye khwahish bhi hai maa puphi ko dikhana na zakhme jigar ye wasiyat bhi hai aur guzarish bhi hai waqt e ruqsat yahi hai meri ilteja mere seene me barchi ka phal hai gadha Baba kaise kahu, kaise baate karu..(2) 9. Haaye.. Ehsan o fakhr kaise bayaa ho ye ghum kaapti hai zabaa ro raha hai qalam ek misre me hai dard ka marsiya baap ki god me nikla bete ghum kehte hi reh gaye shahe karbobala ghum se seene me dil phat raha hai mera Beta kuch to kaho, mujhse baate karo..(2)