لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala dur hai Jaana Zaroor hai

Ajani Mohammed Mehdi2021
ShiaNohaLyrics
Ay Arze Karbala Ay Dasht e Naynava Kaisa hai Fasla Jaldi hame bula... Karbala dur hai Jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (1) Chal pade hai Dekho Saare kaafle Karne hai tay hum ko Saare fasale Arsh k Farishte saath chal pade Isse mil rahe hai hum ko honsale Har Qadam pe kehte hai labbaik ya Husain Ay Gareeb e Naynava Husain ya Husain Dil me teri yaad hai....ya Husain ya Husain Dil me teri yaad hai.Aasra Abbas hai Bus yehi Armaan hai dekhu karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (2) Mai n rukne Dungi ye Qadam Husain Mai n jukne dungi ye Alam Husain Haq ka sidha Raasta mera Husain Aisa be misaal Rehnuma Husain Karbala ko Darsgaah bana gaya hai tu Ek din me kitni Maut mar gaya he tu Dil me teri yad hai.. Ya Husain Ya Husain Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai Bus yehi Arman hai dekhu karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (3) Ay yazid tera naam hai kaha Bus mera Husain to hai har jaga Takhto taaj tera to hai kho gaya Bus Husainiyat ki Gunj har jaga Sar kata ke kamiyab ho gaya Husain Ghar luta ke kamiyab ho gaya Husain Dil me teri yad hai.. Ya Husain Ya Husain Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai Bus yehi Arman hai dekhu Karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (4) Rauze pe Aake jo mai Maatam karu Apne Muqaddar pe Naaz yu karu Wada jo kiya hai wo wafa karu Zahra tere Bachho pe girya karu Umr bhar Aza pe jaa lutate jayege Apne gum ko bhul ke ye gum manayege Dil me teri yad hai.. Ya Husain Ya Husain Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai Bus yehi Arman hai dekhu Karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (5) Noor zehra ab Qalam ko rokle Apni Aankh se wo Rozah dekhle Dil ke sab Arman ab nikal le Har Qadam ka jo ho sila mang le Ay Ali ke laal ab mai maangu bhi to kya Jiski justaju thi wo to mujko mil gaya Dil me ter yaad thi.. Ya Husain Ya Husain Dil me teri yaad thi hasrate aur Aas thi Muddto se pyas thi dekhu karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) (6) Jald se ab Mehdi ka zahoor ho Mehdi tera padhna bhi Qabool ho Is Baras ka Arbaeen khaas ho Waqt ka Imam apne Saath ho Karbala ka waqiya bhi sunte jayenge Nauha Marsiya bhi hum sunate jayenge Dil me teri yaad hai.. Ya Husain Ya Husain Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai Bus yehi Arman hai dekhu karbala Karbala dur hai jaana Zaroor hai Maula bulayege jana Zaroor hai (2) Sun Le dua - Ya Hussain Shahe Huda - Ya Husain Karde Ata - Ya Husain Sab ko Shifa - Ya Husain Hum ko bula - Ya Husain Karbobala - Ya Husain Dengay tujhe - Ya Husain Pursa waha - Ya Husain Sare Azadar tere Ya Husain Dil se hay sab bekarar Ya Husain Hum ko bula karbobala Ya Husain (2) Ya Husain.........