لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kiya Hum Hi Sayyida Ki Dua Hein

Ali Deep Rizvi2012
ShiaNohaLyrics
Goonji thi jo karbal me halmin ki sada hai;;; Gham khwar hain Maula ke ham hi ahle aza hain;;; Socho ye azadaron, shabbir ke gham khwaron !!!!! Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Bibi ne sikhaya tha jo majlis ka tareeqa;;; Hamne to badal daala hai ab iska tareeqa;;; Apnayi dikhawat ki banawat ki rusumaat;;; Aur inko bhi kahte hain ibadat ka tareeqa;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Taqleed pe ham log bharosa nahin karte;;; Gheebat hai bura kaam yahi kaam hi karte;;; Naaraz na ho jayen kahin aale Muhammad (as);;; Is baat ki parwaah magar ham nahin karte;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Padhte nahin qur'aan namaze'n nahin padhte;;; Wajib hain jo ahkam ada wo nahin karte;;; Rakhte hain aqeedat pe hi bakhshish ka bharosa;;; Momin ye kabhi kaam kiya hi nahin karte;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Masjid me siyasat hai to mimbar pe siyasat;;; Mahfil me siyasat hai to majlis me siyasat;;; Kirdaar kashi karne me ham sabse hain aage;;; Ab isse badi kya ho bhala aur qayamat;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Majlis me ghame shaah ki karte hain dikhawe;;; Maqsad ko bhula baithe hain ham karbobala ke;;; Farshe aza pe ab na aqeedat na ehtraam;;; Jiddat pasandi aa gayi ikhlaas bhula ke;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Maa bahno ke sar pe hamein chadar nahin dikhti;;; Na mahramo ko dekh ke gardan nahin jhhukti;;; Aati hain muharram me har ek ghar meri Bibi;;; Ye dekh ke halaat wo kya sochti hongi;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Ham log azadar hain karte hain ye charche;;; Khoon e gham e Shabbir ke ham karte hain saude;;; Maulana ho zakir ho ya masjid ke nigehbaan;;; Kirdaar o amal apna khara ham nahin karte;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Wo izn agar dete hain ham padhte hain nauhe;;; Wo izn agar dete hain ham likhte hain nauhe;;; Ham apni numaish me magan aaj hain aise;;; Fankaar bane baithe hain ham zikr ke inse;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Socho ye azadaron ye tanhayi me jakar;;; Kis baat pe tanqeed hui ham pe ye aakhir;;; Ham door karein saari burayi ko amal se;;; Ek jaisa banayen chalo ham baatin o zaahir;;; Kya ham hi Sayyida ki dua hain? Khush ho gayin Bibi to duaen hamein dengi;;; Jannat me momino se wo jab aake milengi;;; Kirdaar o amal se jo kiya hamne ye saabit;;; Phir dekhna ye Fatima Zahra bhi kahengi;;; Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!! Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!!