لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qaid khane mein sakina mar gayi

Ali Deep Rizvi2015
ShiaNohaLyrics
Haye sakina, haye sakina..(3) Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) Qaid khane mein sakina mar gayi.. dastaa'n apni raqam wo kar gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 1. Jab se bichhdi baap se roti rahi..(2) siskiya zindaan mein bharti rahi sabke daaman aasuo se bhar gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 2. Jhidkiya khati rahi hai shimr ki..(2) aag masooma ke daman me lagi raat ki tareekiyo se tal gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 3. Apne baba ki bohot thi laadli..(2) jab se bichdi thi bohot faryaad ki baap ko deti sadaa darr darr gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 4. Zulm ki ye inteha thi jo hui..(2) laadli shabbir ki sehti rahi qaidi banke deen ki khatir gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 5. Tasht mein baba ka sar jab mil gaya..(2) chayn masooma ko usdum aagaya baba baba kehte kehte mar gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 6. Aaj bhi zindaa'n se aati hai sadaa..(2) qafela apne watan ko jaa chuka ek bachi laut ke na ghar gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 7. Sayyada zainab pe mushkil thi gadhi..(2) laadli bhai ki zindaa'n mein rahi wo madine aasuo'n se tarr gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2) 8. Ye qalam ali deep ka hai likh raha..(2) zulm kitna haaye bibi ne saha haye wo zindaan mein hi marr gayi Qaid khane mein sakina mar gayi..(2)