لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon e hussain

Ali Deep Rizvi2017
ShiaNohaLyrics
Ehle azaa pehchano khudara farshe azaa par aane se pehle jinko talab paiso ki hai bus zikre husain sunane se pehle ye hai tajir khoon e husain tajirane khoon e hussain 1. Inko gharaz nahi fikr se kya hai inko gharaz nahi maqsad kya hai zikr e hussain ibadat hai par peshawaro ko isse kya hai gaano ki tarz pe padhke qaside jhuthe bayn sunane se pehle jinko... 2. Fitna parasti, gumrahi ka jahilo ne dars diya hai roza, namaz, qura'n se inhone ehle azaa ko door rakha hai zikr e nabi o zikr e zehra zikr e ali mein bulane se pehle jinko... 3. Ehkam e deeni hai nahi jaane shirk, kufr ki baatein maane mimbar se jhute qaul sunaye sachhai ko na pehchane sachho ke zikr mein aise jhoothe zakiro ko bulane se pehle jinko... 4. Yehi to karbobala mein logo kirdaar e shimr o khuli bhi tha chadar e cheen ki aale nabi ki jinhone ma'avza talab kiya tha ye bhi usi qisse ko batakar momino ko rulane se pehle 5. Ankho mein sharm haya nahi inke kaise mu dikhlayenge roze mehshar fatema zehra ko ye kya batlayenge jhuthe sog aur jhute aansu mimbaro pe bahane se pehle 6. Zikr e wilayat karte hai par inko wilayat ka na pata hai inki wilayat sirf hai naara jabke yehi nezame khuda hai mujrim hai baani saath mein inke majliso mein padhane se pehle 7. Khoon e ghazi bechte hai ye khoone ali akbar ye beche khoon e qasim bechte hai ye khoone ali asghar ye beche apna shikam bharte hai ye to bhuko ka zikr sunane se pehle 8. Karbobala ka baat hai ab bhi sabse badi mazloom hai hasti jiski fazael aur masaeb ki badi qeemat hai lagti duniya ko maulayi banne ka jhutha dars sikhane se pehle 9. Shikwa kare ab kisse ali deep har su ye fitna jaari hai mi6 ka wo pero hai mimbar ka jo wyopari hai aise munafiq aur nuseri mimbaro pe laane se pehle jinko talab paiso ki hai bus zikre husain sunane se pehle ye hai tajir khoon e husain tajirane khoon e hussain