لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Labbaik Ya Hussain

Ali Deep Rizvi2017
ShiaNohaLyrics
- Labbaik ya hussain (2) × 2 - Aey karbala ke chaaradar deedar Ya Hussain....Labbaik ya hussain (2) × 2 1.) Afsos karbala mein hum nusrat na teri kar sake Lekin ladenge aaj hum is daur ke yazeed se Ban kar dikhayenge inhe mukhtar ya hussain 2.) Baato ka daur ye nahi maidan e jung bulata haii Wo haqq ko jaan leta haii ispar wo jaan lutata Hurr ki tarha nibhata hai kirdar Ya Hussain 3.) Aashur ko hussain ne naasir ki jo sada di thi Wo hi sada to maqsad e shabbir ki baqa ki thi Ab bhi sada hai barsare paikaar Ya Hussain 4.) Kurbaaniye hussain ye manzar hame dikha rahii Utho hussainiyo chalo ab qaltgaah bula rahi Utho tumhe bula rahe sardaar Ya Hussain 5.) Himmat hai kisme rok de jo matam e hussain ko Jaari rakhenge hashr tak ham majlis e hussain ko Hum sab hai jaan lutaane ko taiyyar ya Hussain 6.) Jis jis jagah yazidiyat apna ye sar uthayegi Har us jagah hussainiyat use khaak mein milayegi Ehd e wafa nibhayenge hubdaar ya Hussain 7.) Labbaik ya Hussain hi izzat ki raah dikhata hai Ye keh ke hurr jahannum se jannat ki simt aata hai Aashur ko wo banta hai salaar Ya Hussain 8.) Zinda rakhenge har jagah shabbir ke payaam ko Tayyar hum hai har ghadi ab nusrat e imam ko Hai jazba e shahadat se sarshaar Ya Hussain 9.) Mat alwida kaho kabhi Labbaik Ya Hussain se Bolo imam haazir hai Labbaik ya Hussain pe Hum to nisar kar denge har baar ya Hussain 10.) Zainab ne haq nibhaya hai Labbaik ya hussain ka Naksha ulat ke rakh diya bibi ne sare shaam ka Har zehn ka bana diya ye aar ya Hussain 11.) Rehbar bhi hai amal paira Labbaik ya hussain pe Duniya dari huyi hai ab is naukar e hussain se Haq kar raha hai ye ada deedar Ya Hussain 12.) Meri qaum ke mujahido ali deep ki hai ye sada Labbaik ya hussain se ham hashr tak kare wafa Mil kar kaho ke haazir hai gumkhwar ya Hussain LABBAIK YA HUSSAIN (2) × 2