لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye sayyade mazloom

Ali Haider2010
ShiaNohaLyrics
Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari [[Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2)]]   (2) Dukhyari hun bhaiyya na meri aas ko thodo Sab de gaye pardes may behena ko na chodo Ab jaiyo jab dil se guzar jayegi zainab(2) Hazrath ne kamar bandhi toh marjayegi zainab [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2) Dargashta zamana hua muh tum toh na modo Mujhse tum na farmao k hathon ko na jodo Mannath bhi karungi mai khadam par bhi girungi Sar nange madar qaid may dar dar na phirungi [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2) Farmate they sab behnon may tu hai mujhe pyari Jis par mujhe tum chod k jaate ho mai waari Duniya may rahe lakh baras aap salamat(2) Bus jaanti hun hain mere maa baap salamat [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2) Hazrath ki qasam mujhko jo beton ka bhi gham ho Duniya may koi ho k na ho aap ka dum ho Bachpan may kabhi shehar may bichdi na safar may(2) So marne ko tum jao mai baithi rahun ghar may [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2) Ae bhai jahan jaoge mai saath chalungi Jungle may rahun ghar ka kabhi naam na lungi Ada ki ladayi se na dar jayegi zainab(2) Katwa k gala tegh se marjayegi zainab [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(2) Sunkar ye sukhan shah k aanson hue jaari Chathi se lipat bhai k zainab ye pukari Dar dar phirungi qaid may bhi jaungi(2) Sab hoga magar tumko kahan paungi bhai [Ae sayyed e mazloom behan hogayi waari Mai Jaane nahi dene ki hazrath ki sawari(3)