لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale

Ali Najaf Rizvi2011
ShiaNohaLyrics
Haye Hussain....x5 Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar Mere khuda....x4 Mera Hussain ab hain tere hawale Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale Safar me hain mera baccha mere Hussain ki khair Mere jigar ka hain tukda mere Hussain ki khair Mashakkaton se hain pala mere Hussain ki khair Wohi hain mera jiyala mere Hussain ki khair Mere khuda na lage usko dushmanon ki nazar Mere khuda ...x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale)x2 Laeen zadon ne Shabbir ko bulaya hain Yeh hain woh log jinhone mujhe rulaya hain Hasan ko aur Ali ko bohot sataya hain Ameen waqt mere ladle pe aya hain Rahe balaaon se mehfuz mere ke nafar Mere khuda...x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Mujhe hain yad abhi tak woh akhri manzar Vida ke waste aya tha jab mera dilbar Lipatke qabr se kehta tha mujhe ro ro kar Duayein dijiye amma ke ja raha hain pisar Mere khuda mere bacche ko raas aaye safar Mere khuda....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Hain saath shahe di ke Qasim o Akbar Hain chhote bacchon me Baqar Sakina aur Asgar Tamam kunba hain hamrah aur taweel safar Kahi hain wadiyon Zehra kahi kahi hain shajar Lute na jake kisi dasht me Rasul ka ghar Mere khuda...x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Sukoon hain mujhe Abbas Sheh ke saath me hain Haram ke parde ka ehsaas Sheh ke saath me hain Woh faake jism ki ehsaas Sheh ke saath me hain Hain jisse mujhko badi aas Sheh ke saath me hain Lage na bazu e Abbas ko kisi ki nazar Mere khuda ....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale )x2 Baqa e deen e Mohammad hain maksad e Shabbir Hain uske saath har ek lamha Zainab e dilgeer Luta ke haq me behan bhai apne fir jageer Dikhayege hume khame khaleel ki tameer Behan ke samne lekin kate na bhai ka sar Mere khuda....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Kaleja Akbar e mehroo ka ched degi sina Gale pe teer e sitam lege Asgar e nadaan Diler Aun o Mohammed bhi qatl hoge waha Jalega aag ke sholo se shahe di ka makan Mujhe sunana na mabood koi aisi khabar Mere khuda....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Suna hain dasvi Moharram ko qatl hoge Hussain Khayame Ahmad e mursal me hoga shoro shayn Mujhe lehad me bhala kis tarah se ayega chain Gareeb Zainab e muztar karegi roke ye bain Gala hain khushk baradar ka Shimr zibh na kar Mere khuda.....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Aseer hoge nabizadiyan khabar hain mujhe Satayi jayegi shehzadiyan khabar hain mujhe Chalegi zulm ki har aandhiyan khabar hain mujhe Lahoo bahayega yeh asman khabar hain mujhe Main kitne gam karu bardasht kab hain dabe jigar Mere khuda .....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale)x2 Pinhai jayegi Abid ko hathkadi bedi Rulayi jayegi har gaam ladli sheh ki Har ek hot pe lipti rahegi tashna labi Khabar kisi ko na hogi kab unki pyaas bujhi Game Hussain me dube rahege shams o kamar Mere khuda......x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Bandhegi Zainab e muztar ke reesmane sitam Sakina bibi ko tadpayega Hussain ka gam Har ek zulm o sitam azmayege azlam Sare Hussain bhi aansu bahayega payham Behan na dekh sake gi sina pe bhai ka sar Mere khuda.....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Azim aur Najaf sunke dastane alam Zameen se taba falak mehre gam hua aalam Har ek simt bapa tha Hussain ka matam Dahade maarke rote the ambiya payham Jigar ko thamke bole yeh sakiye kausar Mere khuda....x2 (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2 Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar (Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x3