لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ibne muljim pe lanat khuda ki

Ali Najaf Rizvi2015
ShiaNohaLyrics
Ya ali murtaza, ya ali murtaza..(3) Zakhmi peshani hai murtaza ki ibne muljim pe lanat khuda ki Aa rahi hai sada mustafa ki ibne muljim pe lanat khuda ki 1. Aasmaa'n par udasi hai chhayi ghum mein doobi hui hai khudayi..(2) shere dawar pe jisne jafa ki ibne muljim pe lanat khuda ki 2. Khuld mein fatima ro rahi hai jaan ummul banee'n kho rahi hai..(2) muztarib hai safar ambiya ki ibne muljim pe lanat khuda ki 3. Zainab e ghum zada hai pareshaa'n kyu na hoorane jannat ho giryaa'n..(2) hai jabee'n khoon khairul wara ki ibne muljim pe lanat khuda ki 4. Kaise fizza jigar ko sambhale bibi kulsoom karti hai naale..(2) laash uthti hai shahe huda ki ibne muljim pe lanat khuda ki 5. Hashr aalam mein hai aaj barpa roke jibreel karte hai nauha..(2) haye haye ali ne qaza ki ibne muljim pe lanat khuda ki 6. Hanfiya karte hai haye haye kaise hasnain ko chayn aaye..(2) khair halat hai aale ebaa ki ibne muljim pe lanat khuda ki 7. Sar patakte hai abbas e ghazi khoon mein tarr hua hai namazi..(2) inteha hogayi hai jafa ki ibne muljim pe lanat khuda ki 8. Rozadaro mein mehshar bapa hai ya ali ya ali ki sadaa hai..(2) hai azadari mushkil kusha ki ibne muljim pe lanat khuda ki 9. Girna jaye kahi'n aaj kaaba uth raha hai ali ka janaza..(2) aa rahi hai sada kibriya ki ibne muljim pe lanat khuda ki 10. Subh ekkis ki hai qayamat murtaza par hai tuti musibat..(2) ibteda hogayi karbala ki ibne muljim pe lanat khuda ki 11. Aye Azeem o Najaf ghum manao tum bhi haider ka taboot uthao..(2) tum jaza paoge is azaa ki ibne muljim pe lanat khuda ki