لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Dil Kahe Mola Hussain

Ali Raza Irani2023
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain Ya Hussain Hussaino minni ki ye sada hai hussain jaisa koi nahi hai yahi shareeat ka aaina hai yahi mohabbat ki inteha hai Sare azadaro pe ye ahsan usi ka hai daman me jo ishq shahe kaunain ko bakhsha hai jo dil hai parwan chadha mola ki mohabbat se ban ke lahu name sarwar us dil me dhadakta hai ye dil kahe mera mola hussain saanso pa hai tera pahra hussain har soo hussaina ki sada dono jahan par hai chahi hui ashke aza ke saath me meraj par hai meri bandagi kausar ki aabru zamzam ki aabru kabe ki hai sada hussain kubaku insaniat ki baqa ke liye baiat na ki sar dia ya hussain tu adl ka maiaar hai tu hi mohammad ka kirdar hai tu hai shareeat ki zaban inkare deen tera inkar hai deen ki pahchan hai roohe quraan hai tujh se wabastagi aine imaan hai usko yaqeenan khuda mil gaya jis shkhs ko tu mila ya hussain hussain sa rahnuma jahan me koi nahi hoga ye faisla ho gaya khuda ka kahin nahi hoga hidayato ka charagh hai ye nabi ka aaina jahan me raushan inhi ke dam se wafa ki hai dunia jab se pade tere qadam karbobala aasman ban gai is pe lahu tera baha ye khak rashke jinaa ban gai tabibe be kasaan hakime nafse jaan hai sooraj ki qadmo ka har nishan sab arsh waale yahin hain makin jannat teri karbala ya hussain teri shahadat ke sabab dunia ko raahe baqa mil gai marna khuda ki raah me mitna nahi hai yahi zindagi dunia me dekh lo ab kiska naam hai raze haqqaniat kiska paigham hai ahle sitam ka nishan tak nahin zinda hai teri wafa ya hussain shujaaton ki misal ban kar jahan pe cha baithe sitamgaron ki sitam zarifi ko aazma baithe gala kataya bala ke ran me ali ke bete ne tamam soye huye dilo ko magar jaga baithe zalim ne ki baiat talab shabbir ne usko thukra dia wo kaun the kya azm tha deke lahu sabko batla dia sab zulm mit gaye zinda hai karbala fathe shabbir hai azaano ki sada phir koi baiat na mangi gai inkar tha tera aysa hussain wo aashiqe shahe zaman baiat sitamgar ki karte nahi haq ke liye dete hain jaan marte to hain phir bhi marte nahi tera ye hai karam aye sultane umam jhukne nahi dia deene haq ka alam karbobala ki yahi hai sada har su ho haq ki zia ya hussain deen ki jaan hussain mera imaan hussain rabbe kaba ki qasam hai quraan hussain shahe mardaan hussain shere yazdaan hussain jahan jahan khuda waha wahan hussain aye shahe karbala aye jaane mustafa aye zahra ke pisar quwwate murtaza tune sar de dia aur na uff kia deene haq ke liye ghar bhi luta dia karbal me wada wafa kar dia nana se jo tha kia ya hussain tera karam be inteha teri ataa ki koi had nahi jo bhi tere dar pe gaya hur kar dia aapne bilyaqeen aye ibne murtaza sultane karbala tu ba kamal hai jamale mustafa sadiyon se dono jahan ke liye jari hai teri ataa ya hussain ye karwane shahe deen haqqaniat ka bharam ban gaya fathe hussaini ka nishan dekho jari ka alam ban gaya jab ye lahraega sab ko bataega fathe islam ki yaad dilayega ahle sitam ka sitam thak gaya ayesa tera sabr tha ya hussain mera aaqa hussain mera qibla hussain sari dunia kahe meri dunia hussain shane wafa hussain jane azaa hussain deene islam ki tu hai baqaa hussian waqre mustafa aye fakhre ambiya aye zinate pidar sukune sayyada shaheede karbala mazlume nainawa tune raushan kia charaghe lailah tu rab se razi hai tujh se khuda aye shae sabro raza ya hussain deene khuda ki aas tu tujh par jami hai nigahe haram tu hai waqare ambiya tu hi nuqushe wafa ka bharam tu hi islam hai tu hi hai bandagi tune ata kia deen ko zindagi har ik sadi ki zarurat hai tu har marz ki hai dawa ya hussain aye aashqane shahe deen duniaya se kah do wasimo raza ye maatme shabbir hai har pairwane sitam ki qaza ye ishqe gham nahi aik tufan hai kuzaye chashm me shah ka rman hai ye ashk karta hai har su bayan rudade karbobala ya hussain