لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haal E Yateemi

Ali Raza Irani2023
ShiaNohaLyrics
Haye baba haye baba Mere baba mere baba Aye baba is hale yateemi mein kitna mushkil mera jeena hai Tum se bichadh ke zinda rah pana mere liye marne se zyada hai 1. Hoke yateema kitne tamache rukh par khati hun Kano se khun aur aankho se ashk bahati hun Uth gaya sar se baap ka saya sab se batati hun Maqtal se tum aate nahi ho kitna bulati hun Ahle sitam ne zulm hai dhaya Kurte ka daaman bhi hai jalaya Maine musibat mein aye baba tumko pukara hai Sun lo meri fariyad mere baba 2. Ab mujhko apne seene par kon sulayega Kon mohabbat se ab sar par haath phirayega Kon hai ab jo mere dil ki pyas bujhayega Is sahra se kon madfine lekar jayega Baba tum seene pe sulalo Zulmo sitam se mujhko bachalo Aao to aur pucho to kya hale sakina hai Sun lo meri fariyad mere baba 3. Aada ne mujhko jakda hai zulm ki rassi mein Pusht pa durre bhi padte hain haaye yateemi mein Kal talk thi aazad sakina ab hai aseeri mein Kitna watan bhi yaad ata hai ayesi ghareebi mein Jaati hun mai qaidi bankar Is sahra mein barbad hua ghar Karbobala se kufe ke bazar mein jana hai Sun lo meri fariyad mere baba 4. Kufe ke bazar mein baba sab the tamashai Kitna mujhko dukh pahucha tha kitni haya aai Thoda sa paani aur na chadar koi mil paai Bheed mein bhi mahsoos hui thi kitni tanhai Kufe se ab sham safar hai Chalni chalni mera jigar hai Itna bata do kitni musibat aur uthana hai Sun lo meri fariyad mere baba 5. Jaaun kahan mai raah me pushte naqa se girkar Allaho akbar kaisi musibat aai hai ye mujhpar Qafile waale choot gaye hain dhundhna hai dhoobhar Ab na hai phuphiyan saath me mere aur na hai maadar Charo taraf ik sannata hai Seene mein dil ghabrata hai Bichdi hui hun mai kunbe se tumko milana hai Sun lo meri fariyad mere baba 6. Rah rah ke tadpata hai mujhko asr ka har manzar Pyase par barsaaye sitam ne kis darja patthar Sajda aur teeron ka musalla chalta hua khanjar Ghash mein pada beemar baradar khaime ke andar Kaisi musibat ki wo ghadi thi Kitni mpareshan meri phuphi thi Gham ki ghatayen chai hain ab bhi khun barasta hai Sun lo meri fariyad mere baba 7. Tashte tala se uth ke meri god mein sar aaya Tumne apne paas na mujhko ab tak bulwaya Khwab me tumne le chalne ko mujhse hai farmaya Qaide sitam mein dhundh rahi hun chain ka sarmaya Aa gaya fidvi shah ka kata sar Haye raza shabbir ki dukhtar Mar gai ro kar aaj bhi zinda uska noha hai Sun lo meri fariyad mere baba