لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mazlooma Banaya Zahra Ko

Ali Raza Irani2023
ShiaNohaLyrics
Masuma se bade nabi mazlooma banaya zahra ko Be deeno ne dhaye sitam be jurm rulaya zahra ko Cheen ke haq gham ayesa dia jis gham ka utha mushkil tha Qatl kia batne madar me ahle shar ne mohsin ka Pahlu par darwaza dhaya durra lagaya zahra ko Sang dilon ne sang dili ki har ek had ko paar kia Ek masoom ko dunia me aane se hi pahle maar dia Pasliyan todi dhaye sitam bejurm sataya zahra ko Beech me thi diwaro dar ke saas bhi lena mushkil tha Zulm ka hamla aag ke shole jaan ke jaane ka khatra Ahle madina ne na madad ki aur na bachaya zahra ko Pahlu shikasta aankh me aansu ghash me padi thi masooma Wo manzar ke dekh ke jisko khud ka sambhalna mushkil tha Kaise sambhala dil ko ali ne kaise uthaya zahra ko Gham me padar ke ghamgeen hai zahra jaante the ye baat laeen Pursa dena chahiye tha jis bibi ko eezayen deen Arshe bari bhi kaanp utha itna tadpaya zahra ko Kaise hui mohsin ki shahadat aag lagai thi kisne Diwaron dar denge gawahi roze mahshar ro ro ke Zulmo sitam ka kisne nishana aake banaya zahra ko Ghar me thi kulsoomo zainab shabbiro shabbar bhi the Maa par meri zulm na dhao bacche roke kahte rahe Ek na suni fariyad laeeno ne tadpaya zahra ko Mangne se bhi haq na mila ye soch ke har dam roti rahin Daagh pisar ka dil pe uthaya ghar bhi jala zakhmi bhi huin Baade payambar shahre madina raas na aya zahra ko Ashk huye aankho se jaari mahdi hasan mazhar o raza Zakhme pahlu dekh ke itna roye ali dil tukde hua Baade shahadat ghusl dia jisdam kafnaya zahra ko