لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere Bhai Abbas

Ali Raza Irani2023
ShiaNohaLyrics
Abbas abbas mere abbas Mashk sahil pa chidi sher ke jab haath kate Sar pa ek gurz pada girne laga ghode se Jism par haath na the hatho ko jo tek sake Uski aawaze salam aai to shabbir chale God me sar liya abbas ka kah kar roye Mere bhai mere abbas Mere ghazi mere abbas Roke sarwar ne kaha mujh se hote ho juda Mujhko aqa na kaho bhai ab kah do zara Hai alam lkhun me bhara ho gaye hath juda Tum se sharminda hu mai na dia izne wagha Mere bhai mere abbas Waqt hai reukhsat ka dil hai tamannai Apni zaban se tum mujhko kaho bhai Lo na abhi bhayya maut ki angdai Pyasi tamanna ki pyas na bujh pai Haye ab tak to mujhew tum ne kaha hai aaqa Mere bhai mere abbas Maine tumhe bhayya jhgula jhulaya hai Bahon me le lekar dil se lagaya hai Ungli pakad kar bhi chalna sikhaya hai Mujhse vidai ka waqt ye aaya hai Haye kuch der me chuth jaaoge mujhse bhayya Mere bhai mere abbas Haath jo baba ne mujhko thamaye the Chume the maqtal me roke uthaye the Sar se lagaye the dil se lagaye the Kaise qadam maine aage badhaye the Haye kis haal me hoon aaj mai tum tak pahucha Mere bhai mere abbas Tum pe sakina ko kitna bharosa hai Pyas hai hotho par haath me kuza hai Kahti hai baccho se paani ab aata hai Tum pe jo guzri hai usko khabar kya hai Mai sunani jo sunaunga to dil tutega Mere bhai mere abbas Kaise jiunga mai tum se juda hokar Kaise uthaunga lashe jawan akbar Khaime me launga lashe ali akbar Kaise sambhalunga royegi jab maadar Ye kamar tuti hui leke hi mar jaunga Mere bhai mere abbas Pyasi sakina se milne na jaoge Kaise kate bazu kuch na bataoge Khun bhara chehra kya na dikhaoge Sab se juda hokar sab ko rulaoge Hoga afsos ke har khaime me matam barpa Mere bhai mere abbas Ahle sitam mujh par teer chalaenge Sang bhi marenge naize lagayenge Khun ke pyase hai khun bahayebge Pushte faras se bhi mujhko giraynge Hoga sar tan se juda mai jo karunga sajda Mere bhai mere abbas Bhai ne jab fidvi shah ko kaha bhai Aai raza usko maut ki angadai Sukhi zaban haaye kitni thi tharrai Karne lagi matam shaah ki tanhai Bhai sun kar bhi kia bhai pe kitna giriya