لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas alamdar

Ali Raza Punjani2018
ShiaNohaLyrics
Saqqa e sakina sarwar k madadgaar abbas alamdar abbas alamdar Ay bazu e shabbir ay sheh k wafadaar abbas alamdaar abbas alamdaar Zainab ki khabar lo abbas kahan ho lut ti hain ridaaen deti hun sadaaen Ay zaigham e sarwar chaadat k nigehdaar abbas alamdar abbas alamdar Kuza liye dar par bethi hay sakina ammu nahi aye kehti hay sakina Haalat meri dekho aakay zara ik baar abbas alamdar abbas alamdar Darya se palat kar ay mery dilawar aaty nahi q kar ay sani e hyder Khaati hun tamaanchy neelay huy rukhsaar abbas alamdar abbas alamdar Jalty huy khemay uth tay huy shu'lay zainab kahan jaye koi ye batae Is dasht e bala main yawar hain na ansaar abbas alamdar Chori na taraai kia hogaya bhai abbas khabar kya tum.nay nahi paai Luuti gai ban main shabbir ki sarkaar abbas alamdar abbas alamdar Kis kis ko sambhaalun dun kis ko dilasy bachy hain abhi tak shabbir k piaasy Hy nargha e aada moonis hah na ghamkhwaar Abbas alamdaar Abbas alamdar Matam.karo qaisar noha parho qaisar ashko ki jaga khun aankho se bahaa kar Maara gaya piaasaa darya pe alamdar abbas alamdar