لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain ki aankhein

Ali Raza Surani2019
ShiaNohaLyrics
(Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 (MasaeboN ka samandar) x2 Hussein(as) ki aakheiN (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 Baad e Abbas e Alamdaar(as) Lag raha hai mujhe Khuda ne isiliye binai lii thi Sarwar(as) se (Na dekheiN laasha e Akbar)x2 Hussein(as) ki aakheiN (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 ZameeN pe aagaye ghode se shahe jinn o bashar Lahu mei duube hai teeroN se chalni tan hai magar (Tiki hai khaime ke dar par)x2 Hussein(as) ki aakhein (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 Hai sar Hussein(as) ka zanu e Fatema(sa) pe rakha Kabhi hai dekhti nazre batool(sa) ka chehra (Kabhi hai dekhti khanjar)x2 Hussein(as) ki aakheiN (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 Ali(as) ki beti ke chehre ko surkhuru karne Jo raaheiN Shaam mei Zainab(sa) ke sar pe girte the (Na bhool paayi woh patthar)x2 Hussein(as) ki aakhein (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 Nigah waris e tatheer se hatate huwe SinaN ki nook pe Qur’an ko sunate huwe (Thi dekhti rahi chaadar)x2  Hussein(as) ki aakheiN (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2 Jab aaya shaam ke zindaN mei sar Raza Sheh ka Sakina(sa) ro ke dikha ti thi neel gaalo ka (Na khul saki thi WahaaN par) x2 Hussein(as) ki aakhein (Har ek gham mei huwi tar Hussein(as) ki aakheiN) x2