لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maula mujhe abbas ki jageer dikhana

Ali Raza Surani2019
ShiaNohaLyrics
[Mere Maula Hussein(as) ,Mere Aaqa Hussein(as)] x2 (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 (Kismat mei hoo likha meri) x2 karbobala jaana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jis waqt main pohchunga maqam e Ali Asgher(as) Yaad aayegi mujhko wahaaN Besheer ki madar Asgher(as) ke baad jo,Saaye mei na baithi,tha dhoop thikana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jaau main WahaaN jis jagah khaime the tumhare Zalim ne Sakina(sa) ko tamache jahaaN maare Uss paak zameeN par,hoo mujhko mayassar,ashko ko bahana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jis jaa pe huwi baap ki bete se judai Kadiyal JawaaN ne aapke barchi jahaaN khayi Kehta hai mera dil,hoga WahaaN mushkil,ashkoN ko rukhana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jab qatl gah aapki dekhunga main jaakar Yaad aaega maula Mujhe aashur ka manzar Gardan pe aapki,woh shimr e laeN ka,khanjar ko chalana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jannat toh azadar ki bas karbobala hai Har matami daste ki yeh khwahish mei likha hai Karbobala jaa ke,Maatam ke nishaN se,sine ko sajana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2 Jaana jo Raza rauza e Abbas(as) ke andar Aaqa ke paas jaana magar ghutniyoN chal kar Ro ro ke WahaaN par,Nauha e Sakina(sa) ,Ghazi(sa) ko sunana (Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2