لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye kaash mai bhi hota

Ali Safdar2004
ShiaNohaLyrics
Aye Kash Main Bhi Hota Maidan E Kerbala Main.. Aye Kaash, Ae Kaash, Ae Kaash Aye Kaash Me Bhi Hota Maidan e Karbala Me Sani) Mera Bhi Zikr Aata Quraan E Karbala Me 1) Zahra K Ladley Pe Jaan Apni Waar Deta Tableegh-E-Mustafa Ka Karza Utaar Deta Hur Ki Tarha Se Me bhi aada Se Jang Kar Ke Insaniyat Ka Chehra Khoon Se Nikhaar Deta 2) Sheh Ki Taraf Jo Badhta Wo Haath Kaat Deta Maidan-E-Jang Sara Lasho Se Baant Deta Juz Maut Aur Kahi Bhi Jaye Ama Na Milti Dil Zindagi Se Sab Ka Aisa Uchaat Deta 3) Nasl-E-Yazeediat Ko Aisa Sabak Sikhata Naam-O-Nasab Bhi Apna Har Fard Bhool Jata Sufiyanaiat Ki Aisi Mitti Kharaab Hoti Ta Hashar Phir Na Koi Namrood Sar Uthata 4) Mola Ba Jabr-E-Qismat Dil Me Rahi Ye Hasrat Hasil Hui Na Mujko Sarmaya-E-Shahadat Ashk-E-Aza Ki Barish Karti Rahengoi Ankhey Seena Zani Karunga Is Gham Me Ta Qiyamat 5) Mera Salaam Un Per Jo Tashna Lab Rahe Hein Be Jurm Karbala Me Jin Ke Galay Kate Hein Ghodo Se Rhound Dali Aada Ne Jin Ki Lashay Tapti Hui Zameen Per Jo Be Kafan Pade Hein 6) Wo Shaam-E-Gham, Wo Khaimay, Wo Raat, Wo Fizaye Bacho Ki Sehmi Sehmi Wo Muztarib Sadaye Aulaad-E-Fatima (S.A) Par Kya Kya Sitam Na Toote Saydaniyo Ke Sar Se Cheeni gayi Ridaye 7) ab Ran Se Aarahi Thi Awaaz-E-Istighasa Pur Dard Kis Qadar Tha Andaaz-E-Istighasa Shayad Na Tha Jahan Me Koi Sewaye Asgher Hota Jo Rahe Haq Me Imdaad-E-Istighasa 8) Her Bazm Her Zabaan Per Hein Karbala Ke Charche Ta Hasher Kam Na Honge Aal-E-Eba Ke Charche Abbas-E-Bafawaa Se Daad-E-Wafa Jo Milti Hote Gali Gali Me Meri Wafa Ke Charche