لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aarzoo hai ye maula

Ali Safdar2007
ShiaNohaLyrics
Aarzoo hai ye maula - 4 1. Zulmo jabr ke hamle bekaso pe jaari hai Adl se adalat se munsifin haari hai kya bataye aye maula, zakhm itne kaari hai - 2 Ab to aap aa jaaye kissa mukhtasar maula 2. Masjide maqatil me dhalti jaa rahi hai sab kab tha zehne insaan me bandagi ka ye matlab deen ko mitadenge, asre nau ke ye marhab - 2 gayb se nikal aaye ab to jaldtar maula 3. Kabre fatema zehra saayeba ko tarse hai Chashme mustafa se khun misle abr barse hai Bugz kalma goyo ko, aaphi ke gharse hai - 2 har taraf andhera hai kijiye sahar maula 4. zad pe hai azadari Fatwasaaz logo ke karzo mustahab me hai silsile azaano me ho gaye aqeede do, katl khaandano ke - 2 Fir se ho kaum apni sheer aur shatar maula 5. Khums hum lahu ka de unko hai pareshaani nauhe ghum ke ham likhe unko hai pareshaane majliso me hum jaage, unko hai pareshaani - 2 kaun humko rokega aap ho agar maula 6. Bhej kar arize hum intezaar karte hai aap aanewale hai aitbaar karte hai Matami jawaano se, aap pyaar karte hai - 2 humko farshe ghum per bhi dekhe ek nazar maula 7. Karbala ka har manzar aap se nahi pinha sinae ali akbar aap se nahi pinha halqe bezabaan asgar, aap se nahi pinha - 2 jald katiye aaker kaatilo ke sar maula 8. Chadaro ke lutne se shimr ke tamacho tak Tashnalab yateemo se sholabar khaymo tak Laashe be burida se, be mazaar lassho tak - 2 Ab zahur kar dije sab hai muntazir maula 9. Nahiya ziyarat me jispe aap rote aur hijabe gaybat me jispe aap rote hai mar gaya jo gurbat me, jispe aap rote hai - 2 aaiye kare girya milke umr bhar maula 10. Humsare haji per hai shiddate alamdari hai sadaye muztar me aisa ranjo gum taari Aapke mohibbo per ghum hai dum ba dum taari Pursa lijiye humse farshe khaak per maula