لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zahoor kab hoga

Ali Safdar2008
ShiaNohaLyrics
Zahoor kab hoga (Zahoor Kab Hoga) x4 (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga Tarap rahain Hain is hasrat me aaj ham mola khuda ke waste ab kijiye karam mola ye haal hai(n) ke nikalta hai apna dam mola jabeene dhundti hai aap ke qadam mola (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga Tumhi Se Milne ko ham jamkaran tak pohnche jahan pe aaye ali us makan tak pohnche samandaron me phire har jahaan tak pohnche nishani hai jo teri us nishan tak pohnche (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga gayi hai(n) jaisay zade pao(n) ghaibat e sughra usi tareekay se rukhsat ho gaibat e kubra tumhare deed ki surat yehi hai ab mola zamana daikhe imamat ka aakhri jalwa (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga karay ge aap jo makkay se karbala ka safar hamara naam bhi ho kash farsare mehzar chalenge sath tumhare jo moniso yawar bas aisay waqt ka talib hai ye dil-e-muztar (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga tumhare naam pe sadqe karain ye sar kaisay lutaye shaam-e-gharibaa(n) me apna ghar kaisa hamare haal hi ki pohnche tum ko khabar kaisay zahoor hoga tumhara yahan magar kaisay (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga bulaye jaayenge akber sunane ko parenge dast bureeda alam uthane ko chalenge jhoolay se asghar bhi muskurane ko magar na jaaye ga ab koyi qaid khaane ko (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga ama saron se bhi chin jai gi rida ki qasam dua kalejo se uthe ka kerbala ki qasam adu koyi na bacha ga yaha(n) khuda ki qasam katenge dast e sitam baazu-e-wafa ki qasam (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga "abad" to aaj hai sarwar ke sogwaro(n) mei khuda kare ke yehi kal ho un baharo(n) mei paye jihad ho maqtal ke sab sawaro(n) mei lahu "abad" ka bhi shamil ho jaanisaro(n) mei (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga