لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye waqt ke husain ab aajao ek baar

Ali Safdar2010
ShiaNohaLyrics
Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan - 2 Aey waqt ke Hussain ab ajao ek baar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Jalwa karain jahan main Imam e Falak Wiqar Chamke ufaq pa phool ke phir noor e kirdigar Hojae poora teen sou tera (313) ka ab shumar Sadyon ke baad khatm ho Maula ka intezar Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Ghaibat ka parda unke uthane ke baad bhi Ilm o amal se khud ko sajane ke baad bhi Maula ka saath dena hai aane ke baad bhi Jaana nahi charagh bujhane ke baad bhi Naasir hai kaun kaun ye hona hai phir shumar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Hai maqsad e hayat yahi khaas o aam ka Atka hua hai seene mai dam es ghulam ka Poora ho khwaab nusrat e shah e anaam ka Bas ek bar dekh loon chehra Imam ka Sadyon se hai Imam e Zamana ka intezar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Bas ek bar Deen e Khuda ko bachaiye Bas ek baar amn o aman sath laaiye Bas ek baar pardae ghaibat uthaiye Daadi ka roza karta hai faryaad aaiye Phir Jannatul Baqi mai aajaegi bahaar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Baba ab apne zakhm ko dhoti nahi hoon main Noke mizhan pe ashq piroti nahi hoon main Durron se khauf aata hai roti nahi hoon main Raaton ko neend aati hai soti nahi hoon main Zindaan se Sakina ko lejao ek baar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Bazar e Shaam mai hai masaeb ki inteha Phupiyon ke sar khule hain tou Aabid ka sar jhuka Hojaen tai ye saathwe dar ka bhi marhala Namoose Mustafa ko jo mil jae ek rida Reh jae Maan ki chadar e tatheer ka wafa Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Deen par amal, tameez halal o haram ho Jazba jihad e haq ka zamane mai aam ho Eesar ka hai shauq tou phir aisa kaam ho Bas ek bar Lashkar e Mehdi mai naam ho Phir eske baad mushkilain aaen qamar hazaar Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan