لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hayya ala khairil amal

Ali Safdar2010
ShiaNohaLyrics
Hayya ala khairil amal (4) Hussain walon suno aye hussain walon suno(4) Hussain kehte hain humse juda namaz na ho (3) Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Padho namaz toh tehzeeb e karbala maango Khuda se maqsad e shabbir se wafa maango Jo hur banati hai woh naymat e aza maango Imam e asr k aane ki tum dua maango Dua ko haath uthe phir dua namaz na ho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Bata rahe hain shah e deen imteha e namaz Samajhle saare azadaar mudda e namaz Ajeeb haal hai gaflath sare bazaar namaz Jo ya hussain kahe aur bhuljaye namaz Yeh kaise ho k ho farsh e aza namaz na ho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Hussainiyon k aqaaed isthe waha nahi Amal may unke kabhi sharf ka gunah nahi Namazo khums k munzir k rasmo raah nahi Khuda ka ghar hai ye masjid beqatlgaaha nahi Rahe nabi agar firq ka namaz naho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Wuzu sagheer k khoon se kiya hai sheh ne yahan Qayam karte hai laashe utha k shah e zamaan Ruku sina e akbar se khinchna hai sina Gale pe sajda e daag may ek churi hai rawan Hussain jaisi kisi se khaza namaz na ho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Zameen e asr k hangaam aye ibne ali Bichi zameen pe ki jaye namaz teeron ki Lahoo may dubi hui khaak par jaqeen rakhi Namaz e asr ko maula ne zindagi de di Mai mar bhi jaun toh lekin qaza namaz na ho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2) Dil e hussain may hai dafn sina e akbar Malaal e furqat e ghazi ne todh di hai kamar Abhi toh taza hai asghar ka khoon chehre par Ye sehte imam sajde may hai hussain ka sar Amal ho kaise juda sar juda namaz na ho Hussain kehte hain humse juda namaz na ho Hussain walon ki koi qaza namaz na ho Hayya ala khairil amal(4)