لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya zainab

Ali Safdar2010
ShiaNohaLyrics
Ya Zainab ,Zainab... 3 Ya Zainab, Zainab... 3 Ya Zainab, Zainab... 3 Ya Zainab , Zainab Ya Zainab ya Zainab ...4 Shaam me haq ka deep jalaya ya Zainab Soyee huwi duniya ko jagaya ya Zainab Nasle imamat ko hain bachaya ya Zainab Farshe aza ka tun bichaya ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab...2 Nasre yazeedi tune dhaya ya Zainab ya Zainab Karbobala ko tune bachaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2 Tune badahe di hain zillat aye zaalim Khaak se kamtar teri hukumat aye zaalim Di hain hame Allah ne izzat aye zaalim Ale nabi ne sar na jhukaya ya Zainab ya Zainab Khutbe se zaalim tharraya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2 Aql me teri hikmat khaaliq kya aaye Tu hain samajhta name ajal hain phelaye Gher ke tujhko karbobala me hum laaye Tune jab khutbe me bataya ya Zainab Zalim ye sunkar ghabraya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab ...x2 Binte Ali ne teghe zabaan se jaam maara Sham ki Jung yazeede khuchsar yu hara Zaalim ko darbar me jakar lalkara Shaam me haq ka deep jalaya ya Zainab ya Zainab Soyee huwi duniya ko jagaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2 Ruk se saare parde uthaye khutbe me Andho ko bhi chehre dikhaye khutbe me Zaalim ko mare tamache khutbe me Nazro se zaalim ko giraya ya Zainab ya Zainab Chehrae fasiq tune dikhaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab...x2 Sabr ki buniyaad zamane me daali Raste bayat taba kayamat hain khali Name yazeed ab hashr talak hain ek gaali Usne kabhi fir chain na paya ya Zainab ya Zainab Tere mukabil jo bhi aya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2 Khoone jigar se tune hain pala aabid ko Shaame gariban me hain sambhala aabid ko Jalte khayme se hain nikala aabid ko Yane imamat tune uthaya ya Zainab ya Zainab Nasle imamat ko hain bachaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2 Zaalim ne go zulmo sitam ki had kardi Sar urya ta sehra laal ka dil zakhmi Chhote bade sacche ke gale me ek rassi Hausla tune itna dikhaya ya Zainab ya Zainab Bacchi ne bhi sar na jhukaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab..x2 Jaake kaha yeh qabre nabi pe aye nana Pheke gaye the patthar ham par aye nana Neel rasan ke haye muqaddar aye nana Kufo Shaam me hum ko firaya ya Zainab ya Zainab Nauha yeh nana ko sunaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2 Nauha kamar ke dil ne likha hain matam se Zaahir haq Zainab ne kiya hain matam se Nasre yazeedi gunj raha hain matam se Shamme chirage sabr jalaya ya Zainab ya Zainab Farshe aza ka tun bichaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2 Nasre yazeedi tune dhaya ya Zainab ya Zainab Karbobala ko tune bachaya ya Zainab ya Zainab Ya Zainab ya Zainab ya Zainab ya Zainab....x2