لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Fatema Zahra

Ali Safdar2011
ShiaNohaLyrics
Ya Fatema Zehra...x4 Seene me liye ranj o alam karbobala ka. Ya Fatema Zehra... Baba se hai milne ko chali Umme Abiha. Ya Fatema Zehra... Ankho se lahoo bahta hai Pehlu hai shikasta Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha..... Ya Fatema Zehra.. Ya Fatema Zehra...pehlu e shikasta..... Ya Fatema Zehra... Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha..... Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha..... Ya Fatema Zehra.. Ya Fatema Zehra...pehlu e shikasta..... Ya Fatema Zehra... 1. Ummat ne bohut aapko tadpaya hai bibi har haq k liye aapko tarsaya hai bibi Ghasib ne jo darbar me bulwaya hai bibi Is dukh se larazne laga khud arsh khuda ka ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 2. Shabbir ki duniya me wiladat se bhi pehle kehti thi ye zehra ke bohut sehti hu sadme bachha ye mera kok me bechaen bohut hai bachha mera kehta hai ke amma mai hu pyasa ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 3. Maa khana khilati hai to phir khate hai bache jaati hai jahaa'n maa wahi aajaate hai bachhe bin maa ke kabhi chaen nhi paate hai bachhe kaam aata hai bachho pe bohut maa ka sahara ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 4. seene me azal se hi mere karbobala hai jaate hue zehra ne yeh duniya se kaha hai kya shaam me hona hai ye sab mujhko pata hai kat te hue sehra me hai shabbir ka lasha.. ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 5. duniya se chali kehti hui binte payambar gham karbobala ka hai liye ye dil e muztar aata hai tasawur me mere shaam ka manzar Allaha rakhe zainab o kulsum ka parda ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 6. ye kaam raha sadiyo se bas ahle azaa ka pyaso ke liye behta raha ashqo ka dariya shabbir ka pursa diya zehra ko hamesha shabbir ko do madar e shabbir ka pursa ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 7. Maao se azaadaro ki zehra ne kaha hai aashur ke maqsad ka bharam tumne rakha hai bachho ko azaadari par qurbaan kiya hai mehshar me chukaungi mai karzaa ye tumhara ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4 8. Ab dilse "Qamar" waris e zahra ko bulao paamaal ye marqad pe bohut ashq bahao ai muntakim e karbobala parda uthao mohsin ki lahad par gaya pehlu e shikasta ya fatema zehra..x2 ya fatema zehra..x4