لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye binte payambar

Ali Safdar2012
ShiaNohaLyrics
Aye binte payambar, hasnain ki madar..(3) aye binte payambar..(2), aye banu e mehsahar Aye binte payambar, hasnain ki madar..(2) Maara gaya mohsin tera (pehlu tha shikasta)..(2) bus yu khuda ke deen se (toda gaya rishta)..(2) tu sabr ka paikar, hasnain ki madar Jis dum tera darwaza (jalaya gaya bibi)..(2) aur arsh e kibriya ko (hilaya gaya bibi)..(2) tha hashr ka manzar, hasnain ki madar Mazlumiye haider pe (kabhi baba pe royi)..(2) zainab ki beridai pe (shabbir pe royi)..(2) hai karb ka daftar, hasnain ki madar Mahdi tera rota raha (har daur mein zahra)..(2) majlis hai teri aaj bhi (har shehr mein zahra)..(2) matam tera ghar ghar, hasnain ki madar Aye khaak e madina hume (zahra ka pata de)..(2) ujde hue dayaar mein (wo qabr bata de)..(2) zaer tera safdar, hasnain ki madar Duniya ka musalmaan hai (is waqt pareshaan)..(2) bahreni azadar ka (mushkil mein hai samaan)..(2) mazloomo ki rahbar, hasnain ki madar Atif ne likha, tumne (padha hai ali safdar)..(2) nauha ye bana marham e (zakhme dil e muztar)..(2) chal jaenge nashtar, hasnain ki madar Aye binte payambar, hasnain ki madar aye binte payambar..(2), aye banu e mehsahar Aye binte payambar, hasnain ki madar