لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baynul Haramain

Ali Safdar2013
ShiaNohaLyrics
Baynul Haramain..(4) Is taraf maula husain, aur us taraf ghaazi abbas..(2) Pursa dene aaye hai saari duniya ke ghulam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 1. Har zaba nauha kuna har aankh se aansu rawa har aza khane saje arsa e ghum aagaya seena zan hai matami fir moharram aagaya har kaneeze ghum zada pursa dete hai ghulam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 2. Baap se rukhsat hua wo jari kadiyal jawa god me bete ki laash aur maula ashkbaar khech kar barchi kaha ye pisar se ek baar jaa ke akbar tum piyo khuld me kausar ka jaam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 3. Bazuo me shaah ke maamta ki jaan thi deke qurbani gai sajde me umme rabab hurmala ke teer ka ek tabassum tha jawab dil me hai bacche ke hai nanhe shehzade ka naam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 4. Kam qayamat se na thi dasht e ghurbat ki wo raat aaho zaari ka wo shor khaimo se uthta dhua haaye wo sabir imaam tauqo zanjeer e gera berida ehle haram aur wo bazare shaam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 5. Jaa rahe hai apne ghar unke * ae phuphi amma kabhi apne ghar jaenge hum ya isi zindaan me ghut ke marjaenge hum nanhi shehzadi tera ghar bana zindane shaam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 6. Kar rahe hai pur sitam daur e hazir ke yazid har ghadi tayyar hai hum shahadat ke liye hai husaini sar bus ab is sa'adat ke liye jaan do haq ke liye karbala ka hai payaam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3) 7. Ta qayamat la zawaal aur ta abad zinda kamaal hai wafa abbas ki aur paigham e husain deen jo laae nabi hai wo islam e husain sar jhukate hai yaha ake safdar khaso aam Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam Baynul Haramain..(3)