لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Faryad karo

Ali Safdar2013
ShiaNohaLyrics
Faryad karo..(8) Ye yusuf e zahra kehte hai jis waqt hume tum yaad karo Faryad karo..(4) Tum shaam ke ghum me rote raho tum karbobala ko yaad karo Faryad karo..(4) Phat jaye ye ghaibat ka parda tum maula ki imdaad karo Faryad karo..(4) 1. Is shiddat se faryad karo har saans me unki yaad aae jaise koi baap bichad jae jaise koi beta marr jae faryad karo rote hai bohot ghaibat ki musibat me maula Faryad karo..(6) 2. Wo phool hai chaand hai narjis ka wo noor ka darya kesa hai ankho ka qaraar aur dil ka sukoo wo yusuf e zehra kesa hai rehta hai wo parda e ghaibat me hum dekh nahi sakte chehra Faryad karo..(6) 3. Wo khoon ke aansu rote hai humlog nahi tayyar zara girya karna hai tumko bhi jis tarha tadapte hai maula kya haq hai warise zahra ka faryad ka haq jo hai banta Faryad karo..(6) 4. Jaa di hai azadari ke liye ab unke yateem kaha jae Har ghar se janaze kitne uthe kis tarha tadapti hai maae Un maao ko un bachho ko mil jae sukoo mango ye dua Faryad karo..(6) 5. Maula ye ghulam jo aap ke hai apne amaal pe nadim hai majlis me jo behte hai ansu zahra ke dil ka marham hai zahra ka waris aata hai fauran hi bicha do farshe aza Faryad karo..(6) 6. Do wasta madar e ghazi ka abbas ke daste bureeda ka qasim ke ek ek tukde ka do wasta umme farwa ka ho jae zahoor jo maula ka har maa ko mile uska beta Faryad karo..(6) 7. Beparda haram par rota hai sar nauke sina pe sarwar ka sadiyo se rabab ye kehti hai khali hai jhoola asghar ka zehra ke bayn ye kehte hai abhi hai husain mera pyasa Faryad karo..(6) 8. Akbar ke jigar me barchi ha hai teer gale me asghar ke zinda me sakina ro ro kar baithi hai paas abhi darr ke jab yaad karo us zinda ko jis waqt bhi do unko pursa Faryad karo..(6) 9. Lagta hai ye sadiyo baad qamar zinda me sakina roti hai kaano pe hai haath rakhe uske yu qabr ke andar soti hai azaad sakina hojae aajae agar mere maula Faryad karo..(6)