لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sham e ghariban

Ali Safdar2013
ShiaNohaLyrics
khaimo ki raakh udti hai muztar hai bibiyan sholo ke darmiya hai ghira ek naatawan milti nahi hai ehle haram ko kahi amaan zainab ke lab pe bus hai sada haay bhaijan..(2) kese karu mai sham e ghariban ke gham bayaan sham e ghariban sham e ghariban..(4) 1. Farzand e fatima ka zamee par kata hai sar laaya hai zuljanah ye rote hue khabar khaime jalane aagai hai fauje badsiyar aisa luta ke fir na basa fatema ka ghar faila hai dasht e zulm me charo taraf dhua sham e ghariban sham e ghariban..(4) 2. Jo shere haq ka sher tha sahil pe mar gaya ehle haram pe zulm ka aghaaz hogaya khoone sagheer chehrae shabbir dho gaya asghar nikal ke jhoole se maqtal me kho gaya dhundhe rabab ab tumhe asghar kahan kahan? sham e ghariban sham e ghariban..(4) 3. Bistar me aag abid e muztar ke lag gai zainab ke sar pe chadar e zahra nahi rahi baali sakina bangai tasweer dard ki binte abu turab ki ye haay bebasi ansu lahu ke roti hai maqtal me ek maa sham e ghariban sham e ghariban..(4) 4. aai hai aisi shame ghariban zameen par bache panaah dhundh rahe hai idhar udhar dil muztarib hai dard se larzeeda hai nazar loota hai ehle zulm ne binte nabi ka ghar aflaak sun rahe hai sakina ki hichkiya sham e ghariban sham e ghariban..(4) 5. Ashre ka din tamaam hua raat aagai kitne hi chaand taare zamee aaj khagai uthta hai dil me dard ghata gham ki cha gai kitne diye hawae sitam tu bujha gai phaili hui hai charo taraf haul nakiya sham e ghariban sham e ghariban..(4) 6. Kab tak rahega aur ghamo dard ka bayaan safdar bapa hai shore fugha rok le zaba nauhe pe tere rote hai sab tifl aur jawa tune bayaan kar diya jab gham ki daastan aasi tere gunaah hue hai dhua dhua sham e ghariban sham e ghariban..(4)