لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ek satai hui bacchi

Ali Safdar2014
ShiaNohaLyrics
haay haay haay..(2) so rahi hai yaha par sakina ay parindo yaha se na guzro ek satai hui bachi ko sataya na karo ae parindo dare zindaan se guzra na karo 1. Jab se choota hai yatima se padar ka seena raat ko uthke kaha karti hai baba baba ab to dekha nahi jata hai tadapna iska kistarha mai ye kahu isse ke roya na karo 2. Tum to azaad fazao ke musafir thehre shaam hote hi pohoch jaoge tum ghar apne dard kya samjoge tum log jila watno ke zakhm jo sukh gae hai unhe taaza na karo 3. Asr e aashoor se rehti hai ye sehmi sehmi aaj tak bujh na saki tashna dahani iski kal thi shehzadi magar aaj hai ek faryadi ghumzada pehle se hai ghum me izafa na karo 4. Badi mushkil se sulaya hai tasalli dekar jane kab hoga mayassar ise yasrab ka safar hoga ehsaan tumhara ye dile muztar par isko ehsaas aseeri ka dilaya na karo 5. Qaid khane me thi shamshaad ye zainab ki fugha baap ki yaad me bechain sakina hai yahan iski ankho me hai pehle se hi ashre ka sama aur gardish me yatima ka sitara na karo (so rahi hai yaha par sakina ay parindo yaha se na guzro)..(2)