لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khudaya mujhe

Ali Safdar2014
ShiaNohaLyrics
Imam e zamana ka nasir banade..(2) khudaya mujhe, khudaya mujhe..(2) Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe shaheedane karbobala se mila de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 1. Khudaya mujhe ilm o hikmat ata ho khudaya mujhe unki nusrat ata ho khudaya mujhe bhi shahadat ata ho..(2) lahu raahe haq me bahana sikha de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 2. meri maa ne saqqa banaya hai mujhko tarika aza ka bataya hai mujhko ghume sheh me rona sikhaya hai mujhko..(2) meri maa ki mehnat ka itna sila de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 3. meri rozi halalat ki karke dikhau mai bacho ko nusrat ki rahe batau imame zamana ke qabil banau..(2) jo rehbar ka rasta hai uspar chala de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 4. Zahoor unka hoga to maida sajega namazi azadaar hi saath dega imam e zamana ka lashkar banega..(2) jo khwabo me hai bus wo manzar dikha de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 5. Dua hai musibat ko zainab ki samjhu ke labbaik kehkar qadam me badhau hifazat ko roze ki mai shaam jau..(2) mai pohchu to zainab ki maa ye dua de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 6. Musalsal hai ankhe bighoti sakina hai darr, siskiyo se hai roti sakina zamee par hai zinda ke soti sakina..(2) ke us qaid khane se usko chuda de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 7. Hai shabbir ab mere maula ye mahdi na ab mere maula ho teero se zakhmi na akbar ke seene pe lag jae barchi..(2) ladu mai yazeedo se ye hausla de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe 8. Saro par rahe meri behno ke chadar bane jab imame zamana ka lashkar to ho nasiro me qamar aur safdar..(2) har ehle aza bas yehi ek dua de khudaya mujhe, khudaya mujhe Imam e zamana ka nasir banade khudaya mujhe, khudaya mujhe