لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sarallah Khooney khuda

Ali Safdar2014
ShiaNohaLyrics
sarallah..(12) sarallah khooney khuda ya husain ya husain ae dile mustafa ya husain ya husain tareef e ambiya ya husain ya husain 1. ae jaane dile madar husaina..(2) ae bekaso beyawar husaina..(2) tashnaye alqama ya husain ya husain 2. ye zulm o sitam ye zoro jafa..(2) ye behta lahu bejurmo khata har zamee karbala ya husain ya husain 3. kya humko daraega ye jahan..(2) ye teero jawa ye arzo sama..(2) sab hai tujhpar fida ya husain ya husain 4. Ye farshe aza ye aaho buka..(2) matam ki sada zahra ki dua..(2) zikr hai ek bapa ya husain ya husain 5. wo bali sakina aur wo pyaas..(2) wo bazu qalam wo hasrat o yaas..(2) hauz ye tha bapa ya husain ya husain 6. akbar neem jaan ye jalti zameen..(2) dil thaam ke baithe hai shahedeen..(2) khaimo me hai buka ya husain ya husain 7. wo tauq e gera wo zainul eba..(2) wo aale nabi wo qaid e bala..(2) zainab e berida ya husain ya husain 8. ye nauha zafar maula ki ataa..(2) safdar ke dilo jaa ki hai sadaa..(2) khoon e dil se likha ya husain ya husain sarallah khooney khuda ya husain ya husain ae dile mustafa ya husain ya husain