لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shabbir ki khatir jeena hai

Ali Safdar2014
ShiaNohaLyrics
zinda hai zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai fir shauk e ibadat zinda hai shahadat shahadat, sa'adat sa'adat zinda hai zinda hai zinda hai zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) hum qatl hue har hamle par seeno me hararat sehna hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 1. Shabbir ke khatir marne par kyu duniya maare deti hai eemaan ke seene me khanjar zulmat ke utaare deti hai har gaam musibat dhati hai, har gaam hasare karti hai is gham ki feza me charo taraf nafrat bhi ubhare deti hai kya nasle umayya ke dil me abhi wo shakawat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 2. Hum farshe aza par baithe hai ye farsh hamari dharti hai shabbir ke matamdaro par duniya ye sitam kyu karti hai ye qaum to hai islam ka par qur'an hadaf ye padti hai ye fikr e husaini jurm hai kya jo isse ye duniya darti hai hum aal e nabi ke shedayi humme ye riwayat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 3. Ye qaum jo matam karti hai ye matam hai dildaro ka ye qaum jo rona karti hai ye rona hai ghumkhwaro ka kamzor na samjhe koi ise, ye lashkar hai jarraro ka jo karbobala se rishta hai wo rishta hai talwaro ka is aag ugalte maqtal me ye qaum ye millat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 4. Jin logo ke ghar ujde hai wo un khaimo ko yaad kare zakhmi jo hue hai maqtal me wo un zakhmo ko yaad kare maqtool hue jinke bacche wo un baccho ko yaad kare jin mao ke bete na rahe wo un beto ko yaad kare us gham ke tasawwur se logo mazloom ki hurmat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 5. Har saal aza ye hoti hai har saal moharram aata hai akbar ki azaan ka lehja bhi fir rasme dua ban jata hai abbas ka ye rangeen alam har gaam yuhi lehrata hai marte hai kaha ye ehle wafa fir waqt unhe dohrata hai akbar ki jawani qayam hai abbas ki seerat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 6. Jis ka ye juloos e matam hai kya uska hasham ruk jaega shabbir ke matamdaro ka badhta ye qadam ruk jaega jiski ye sabile baqi hai wo behre karam ruk jaega kya dehshat ke is maqtal me haadi ka alam ruk jaega jo noke sina par roshan hai wo tarz e qayadat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 7. Hum apni musibat me maula kab aapke ghum ko bhool gae sab ranjo sitam hai yaad hame apne pe sitam ko bhool gae talwar bhi hai zadd par lekin kab ehle haram ko bhool gae hai mashke sakina yaad hame kab deedae nam ko bhool gae is maut ke larza khezi me shabbir ki nusrat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) 8. Maula ke hilaal humlogo par ye waqt bohot hi bhari hai jo maare gae un logo par ek sog hai aaho zaari hai is sog me lekin karbobala ehsaas me apne taari hai shabbir ka nauha baqi hai shabbir ka matam jaari hai safdar ki zaba par hai nauha ab taba qayamat zinda hai fir shauk e shahadat zinda hai (shabbir ki khatir jeena hai shabbir ki khatir marna hai)..(2) zinda hai zinda hai zinda hai