لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya habibi ya husain

Ali Safdar2014
ShiaNohaLyrics
ya habibi ya husain, noorul aini ya husain [ya habibi, ya habibi ya husain noorul aini, noorul aini ya husain]..(2) Noorul aini ya husain..(2) ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 1. Kab ho ziyarat aapki maula dekhi lakeere hatho me din me tadapta rehta hu mai sota nahi hu raato me maula aapki baate ki hai maula apni baato me saans hai kehti maula haider dil hai kehta.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 2. Kok jali maa kehti hai ye ehle azaa se hai mujhko aas mera laal hai abhi tanha bujhti nahi hai iski pyaas jo bhi ziyarat karlo jaana mere pyaase husain ke paas raahe najaf aur raahe khorasan raahe madina.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 3. Aao chale pursa dene ko dilwale ye kehte hai qarb e husain jo zehn me aae khoon ke aasu behte hai dil me ziyarat lab pe ziyarat aankh me maula rehte hai ashura ho karbobala me aaya hai jazba.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 4. Jinno malak aur hoor o qudsi saare wali aur khud haider roza e sheh par aajate hai saare imam aur paighambar roz imam e asr hai aate pursa leti hai maadar roza e sheh par majlis dekho, matam o girya.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 5. Maa pehle se zamee par baithi ghode se girta hai husain garm zamee par ediya ragdi tadpa maa ke dil ka chayn khushk gala khanjar se hai kat ta aur hai uth ta shoro shain akhri saans hai, akhri lamha, akhri sajda.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 6. Dil me ziyarat ki khwahish hai aane se mazoor hu mai apne gunaho ki kasrat se aap se kitna door hu mai aai sada jab maine kaha hai maula ab majboor hu mai ghar baithe tum padhlo ziyarat, padhlo nauha.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2) 7. Takfeeri zalim ki himayat karte nahi hai ehle azaa lashkar kitne hi aajae darte nahi hai ehle azaa zibha qamar karte hai yazidi darte nahi hai ehle azaa gardan katgai fir bhi hai zinda, khoon hai kehta.. Ya husain Ya husain Ya husain ya habibi ya husain, noorul aini ya husain..(2)