لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab piyo pani

Ali Safdar2015
ShiaNohaLyrics
Husain Husain (4) Mazloom Husain beykas Husain Pyaasey Husain aaqa Husain Shiyati Maa in sharibtum ma'a azbin fazkurooni (2) Aw samiyatum Bey gareebin aw shaheedin fandobuni Daaman e sabr o wilaa dast e wilaa mey thaamlo Parcham e abbas key saaye mey Har in'aam lo Tishnagaan e karbalaa pey zindagi ka jaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 1) tum azadar e Hussaini sogwaar e Karbala Maut Bhi kya cheez Jo rokey tumhaara raasta Dhoop mey haasil hai saaya parcham e abbas ka Haath maatam ko uthaawo aur wafa se kaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 2) Yaad rakhna WO tabassum asgar e beysheer ka Hausla todaa hai jisney hurmala key teer ka Bey zabaani mey tha jiski maujza taqdeer ka Aao us bachey se ab tarbiyyat e islaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 3) chaadar e zainab bayaa kartey raho taqdeer mey Zulm ki gardan ko rakhkho zikr ki zanjeer mey Inteqaam e Karbala ho seena e shamsheer mey Ashq e ghum ki nazr deykar quld ka in'aam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 4) zulm ney sab kuch kiyaa lekin huwa kuch Bhi nahi Zindagi zauq e shahaadat ke siwaa kuch Bhi nahi Deen Jo Bhi naa siwaaye Karbala kuch Bhi nahi Karbala waalo sey jeeney ka sabaq Har gaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 5) nusrat e dee'n key liye kaisey nikalnaa chaahiye Raahey deen e mustafa pey kaisey chalna chaahiye Kis tarha taqdeer e aalam ko badalna chaahiye Karbala se hazrat e Shabbir ka paigaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 6) inteqaam e Karbala ki hai sadaaye Al hazar Goonj se jiskey jahaa mey hil rahey hai baam o darr Muntazar ko dhoondti hai Har mujaahid ki nazar Ab imam e waqt ko aawaaz do anjaam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Ya Husain Ibne ali (4) 7) Karbala hai kushta e Shabbir hai aur hum abad Zindagi badhtey rahey kartey raho maatam abad Qaas neymat hai ataa e sayyada ye hum abad Baargaah e sayyada se khuld ka in'aam lo Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2) Husain Husain (2)