لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro

Ali Safdar2015
ShiaNohaLyrics
Utho aye dard ke maaro, utho ghum ke giraftaro utho haq ke parastaro, utho sheh ke azadaro utho aye azm ke taaro, utho himmat ke sayyaro utho aye sabr e shabbiri ki jauhar daar talwaaro azadaro'n, azadaro'n, azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n utho haq ke parastaro..(2) utho sheh ke azadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 1. Suno halmin mughisin ki sada e shaah aati hai sada e al'atash ab bhi yateemo ki rulati hai abhi bhi karbala har roz yu dohrayi jaati hai ke ho marqad mein bhi girya..(2) payambar aye wafadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 2. Abhi sukha nahi hai khoo'n zameen e karbala tarr hai abhi bhi naiza e zalim pe goya farq e sarwar hai abhi bhi haq zamane mein aseere tauq o langar hai utho aye naam e haq pe..(2) marne walo aye fidakaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 3. Utho padhkar sunao sab ko wo zainab ki taqreerein girao zulm isteqdaad ki manhoos tameerein yazidiyat ke har kaaro ko tum pehnao zanjeerein pinhao hathkadi bedi..(2) har ek zalim ko dildaaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 4. Yazeed e waqt ko aaina e tareekh dikhlado mitado zulm mazloomo ko badhkar tum sahara do amal se apne tum farzand e zahra ko dilasa do fana kar do rahe maula..(2) mein khud ko aye wafadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 5. Aza e shah mein jo inqalabi rooh muzmar hai usi ki tarjumani ka amee'n sarwar ka mimbar hai ye matamdaar majma Mehdi e daura'n ka lashkar hai karo kuch ehtemaam e ..(2) aamad e Mehdi azadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 6. Shaheed e karbala ka ghum aseer e nainawa ka ghum na hoga kam kabhi bhi kushtaye zoro jafa ka ghum rahega hashr tak qaem dil e ehle wafa ka ghum magar fikr e madawa bhi..(2) karo sheh ke azadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n 7. Aqeel e dil figaar o seena chaako sar bakaf zakir naqeeb e inqelab e karbala o Mehdi e akhir wohi hai nauhagar ehle azaa insaaf ki khatir wohi nauha sunata hai..(2) tumhe safdar azadaro azadaro'n, azadaro'n utho abbas e ghazi ka alam lekar azadaro'n azadaro'n, azadaro'n