لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ana Mazloom Hussain

Ali Safdar2016
ShiaNohaLyrics
Hussain..Hussain Hussayn, Hussayn, Hussayn, Hussayn..(2) Ana Mazloom Hussain..(8) Mai hu mazloom Hussain 1. Ae azadaro madine ka safar maine kiya qabr e zahra se hata nana ka marqad chhoda dar ba dar phirta hua karbobala mein pohcha reh gayi ghar mein akeli meri beti sughra Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 2. Maine akbar ko lahu hote hue dekha hai tukde tukde ye bhatije ka mere laasha hai mere hatho'n pe hi besheer mera tadpa hai mere zaanu pe hi abbas ne dam toda hai Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 3. Khaak aur khoon mein doobi meri tanhai hai mai bhi pyaasa hu sakina bhi meri pyaasi hai dekh kar meri musibat meri maa roti hai maine akbar ke kaleje se sina khechi hai Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 4. Zibha ke baad bhi kam mujhpe musibat na hui ek anguthi ke liye kaat li ungli meri laash meri sume aspaas baha rondi gayi mere tukde se sadaa aati hai bus ya mahdi Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 5. Shaam o kufa mein har ek zulm ki shiddat dekhi noke naiza se har ek bachhe ki haalat dekhi maine sajjad ke chehre ki aziyat dekhi band aankho'n se bhi zainab ki musibat dekhi Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 6. Maine lut te hue karbal mein bhara ghar dekha maine sajjad ke ashko'n ka samandar dekha noke naiza se mere sar ne ye manzar dekha majma e aam mein zainab ko khule sar dekha Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 7. Aaj bhi dukh mere qatil mujhe dete hai mazeed gardane kaat ti hai aaj bhi wo nasle yazeed masjido'n mein bhi azaa walo pe hai zulm e shadeed aaj bhi hote hai ye mere azadaar shaheed Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 8. Mujhko maloom hai jo zulm mere baad hue maine dekha hai jalae gaye mere khaime kaise khaichi gayi zainab ki rida naize se shimr ne kaise sakina ko tamache maare Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain 9. Ae qamar kehte hai maula mai bohot tanha hu zakhm apno se jo lagte hai mujhe sehta hu door maqsad se azadaar hai mai rota hu ab bhi mazloom hu mai aaj bhi mai pyaasa hu Ana Mazloom Hussain..(6) Mai hu mazloom Hussain