لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai jung karunga batil se

Ali Safdar2016
ShiaNohaLyrics
Abbas abbas abbas hu abbas..(2) Ana ibn e haider..(8) hashim ka lahu hai mera lahu abbas hu abbas mai shere khuda ka beta hu abbas hu abbas shabbir hamare aaqa hai mai unke hukm pe chalta hu abbas hu abbas hai meri wafae unke liye beti ka mai unki saqqa hu abbas hu abbas wo dil jo mohammad ka dil hai ye dil bhi bana hai us dil se abbas hu abbas Mai jung karunga batil se..(2) hum jung karenge batil se..(2) aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 1. Baksha hai alam jo aaqa ne dil aise alam par naaza hai hamza ka alam ye, jafar ka, ye parchame shere yazdaa'n hai..(2) lehrae alam ye duniya mein us ghaazi ka ye armaa'n hai..(2) ye parcham e haqq hai haqq ki qasam pohcha hai ye daste mursal se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 2. Aaqa ne mujhe jo roka hai isme bhi khuda ki marzi hai ek pal bhi na thehri maidaa'n mein ye fauje adu jo bhaagi hai..(2) be jung o jidal asaani se humne ye taraai cheeni hai..(2) sadqe me sakina ke humko ye izn mila hai mushkil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 3. Bu lahab ke gandhe haatho'n ne chhode jo nishaa'n rukhsaro par ye naqshe sitam hai batil ke qur'aan e mubee'n ke paaro'n par..(2) Allah ki lanat hai unpar wo haath jale angaaro'n par..(2) ye sarkash o kafir ehle hawas na waqif hai mustaqbil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 4. Jaari hai lahu jo kaano se jo khoon se kurta bheega hai jo aag lagi hai daman mein hum ne ye sitam bhi dekha hai..(2) ye tashna labi ye zulm o sitam sab dil pe hamare likha hai..(2) ab qehre khuda se pehle to hum baat karenge qatil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 5. Hum saath tumhare rehte hai jungle hume dhoondha na karo baba ko aziyat hoti hai baba ke liye roya na karo..(2) asghar ke tabassum ki hai qasam asghar hai kaha'n pucha na karo..(2) wo parda e turbat me hai yahi'n ye noor hai badre kamil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 6. Mai tere haal pe larza hu ae bali sakina kushta e ghum cheerunga jigar har zalim ka khata hu mai apne rabb ki qasam..(2) jaldi wo zamana aaega jab hogi hamari tegh alam..(2) wo waqt zyada door nahi kuch door nahi haq manzil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 7. Ae saniye zehra binte ali salaar e haram mazloom hai tu shehzadiye kufa hokar bhi ek chadar se mehroom hai tu..(2) ab tak na ruka wo zulm o sitam ab zere lahad maghmoom hai tu..(2) hai teri khitabat mehwe wigha is waqt bhi qasre batil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) 8. Phir waqt wahi hai duniya me phir ehle hawas hai takht nashee'n majboor ka jeena mushkil hai phir zulm se hai azaar zamee'n..(2) maangi hai duae'n humne abad humko to hamesha se hai yaqee'n..(2) jab hadiye daura'n aaenge tab naaw lagegi sahil se aati hai sadae'n sahil se..(2) Mai jung karunga batil se hum jung karenge batil se Mai jung karunga batil se..(2) Ana ibn e haider..(4) Abbas abbas abbas hu abbas..(2)