لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya mustafa

Ali Safdar2016
ShiaNohaLyrics
Ya mustafa..(4) Ya mustafa... swalle a'la..(2) Mehboob e haqq, khairul bashar, islam ke baani nabi shams uz zuha, badr ud duja, noor e khuda, shaan e wali zakhmi hai dil, zakhmi jigar, ye jaanta hai kab koi wo ghum mile hai aap ko sadqe me hai saara jahan Ya mustafa..(4) Pyaare nabi ya mustafa har aankh hai girya kuna Ya mustafa..(4) 1. Kya mustafa ne ghum sahe, duniya ko kab maloom hai sab ke liye rehmat hai jo, khud kis qadar mazloom hai..(2) qurbaan sab kuch kar diya Ya mustafa..(4) 2. Patthar use maare gaye jo rehmat e kaunain tha taed ki galiyo me lahu behta raha behta raha..(2) phir bhi nahi ki baddua Ya mustafa..(4) 3. Ye sochte hai mustafa aaghosh mein shabbir hai khanjar rawa gardan pe hai zakhmi badan mein teer hai..(2) aaegi ek din karbala Ya mustafa..(4) 4. Beti pe mere baad phir har zulm dhaya jaega mohsin shahadat paega ghar ko jalaya jaega..(2) subbat ilayya ki sadaa Ya mustafa..(4) 5. Hasnain hai girya kuna nana ki mayyat dekh kar baba chale hai chodkar zehra ka hai muztar jigar..(2) ab kya karegi fatima Ya mustafa..(4) 6. Haider ki aankhein ashk hai taboot mein hai mustafa zehra akeli rehgayi aur puchti hai maamta..(2) wo shaam kufa karbala Ya mustafa..(4) 7. Zainab ke lab par thi sadaa lut kar madine aagaye kurta liya shabbir ka marqad pe nana ki chale..(2) mehshar bapa hone laga Ya mustafa..(4) 8. Lega wo badla zulm ka ek din 'Mohammad' akhri uski musibat likh sake haq hai ali safdar yahi..(2) maine qamar nauha likha Ya mustafa..(4) Pyaare nabi ya mustafa har aankh hai girya kuna Ya mustafa..(4)