لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya rab kisi ghareeb ka

Ali Safdar2016
ShiaNohaLyrics
Haaye ghareeb, haaye ghareeb..(2) Ya rabb, ya rabb, ya rabb..(2) ya rabb kisi ghareeb ka aisa safar na ho..(2) barbaadiyo ke waaste..(2) awaaz gar na ho 1. Tayaara saajo sabke liye umr bhar raha sehra ko jisne khoon se sayraab kardiya laasha pada ho dhoop mein..(2) koi shajar na ho ya rabb kisi..(2) 2. Zakhme sina laga to kaleja ulat gaya akbar ne apne paalne wale ko di sadaa baba meri phuphi ko..(2) kahin ye khabar na ho ya rabb kisi..(2) 3. baba ne jiske haatho pe khaiber utha liya bhai ne jiske mashk mein darya samo liya kaandhe pe uske laashaye..(2) noore nazar na ho ya rabb kisi..(2) 4. Har imtehaan sabr se zainab ne seh liya lekin dayare shaam mein karti rahi dua athara bhaiyo ki..(2) behan nange sar na ho ya rabb kisi..(2) 5. Dada ka ye sharaf ke hai maula e kayenaat aur baap baat ta raha maqtal mein bhi hayaat kaano me us yateema ke..(2) haye haye gohar na ho ya rabb kisi..(2) 6. Karbobala mein, kufe mein, bazaar e shaam mein be parda sar jhukaye ho darbaar e aam mein kunba kisi ghareeb ka..(2) yu darr ba darr na ho ya rabb kisi..(2) 7. Zainab se sheh ne jab shabe ashoor ye kaha kal subha tumse hona hai humko bahan juda wo boli aisi raat ki..(2) ya rabb sahar na ho ya rabb kisi..(2) 8. Asghar ko dafn karke ye shabbir ne kaha paani ke badle rann mein lahu tera beh gaya asghar dua ye kar teri..(2) maa aaj ghar na ho ya rabb kisi..(2) 9. Aati yehi dua hai mere lab pe rozo shab safdar se khush ho aale nabi aur unka rabb mazloom se to pyaar ho..(2) zalim ka darr na ho ya rabb kisi..(2)