لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ana Karbalai

Ali Safdar2017
ShiaNohaLyrics
Najaf se hain nikle Hussaini jiyalein Ziyarat ki khwahish, Alam hain sambhale Yeh budhe jawa'n, auratein god wale Yeh hain phool jannat ke pairo'n ke chhale Yeh MAHDI (A.T.F.S.) ke naasir.......(2) Hussaini fidayi..(3) Ana Karbalai Ana Murtazai......(2) Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2) 1. NAJAF se safar KARBALA ka karenge Na Daesh ka darr hain hum aage badhenge Hum aage badhenge ........ Kare qatl jitna bhi utna jiyenge Bas ab KARBALA me qadam yeh rukenge Qadam yeh rukenge...... Lehed KARBALA me..........(2) Ho yeh hain badhayi Ana Karbalai Ana Murtazai ...........(2) Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2) 2. Azaa wale QUR’AN ke tarjuma hain Alam ke pharere se hum jaweda hain Hum jaweda hain....... Jawa'n saare AKBAR ke dil se jawa'n hain Yeh bacche bhi besheer ke humzaba'n hain Ke humzaba'n hain.......... Hussaini likhai.......(2) Hussaini padhai........ Ana Karbalai Ana Murtazai.........(2) Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2) 3. Lutaya haIn SHEH ne bhara ghar Khudaya Fida hain bhatija baradar khudaya Yeh Noor e Nazar mera AKBAR khudaya Yeh hain che mahine ka ASGAR khudaya ASGAR khudaya......... Ke jaan deke ISLAM.......(2) Ki jaa'n bachayi....... Ana Karbalai Ana Murtazai.......(2) Ana Karbalai Ana Murtazai ........(2) 4. Yeh ilm o amal nusratein hogi paiham Na hogi AZADARI hargiz kabhi kam Hargiz kabhi kam..... Ibadat, namazein,yeh majlis,yeh matam IMAM E ZAMANA (A.T.F.S.) ke naasir bane hum Naasir bane hum.......... Bohot se mahaazo'n ....(2) Pe hogi ladai ..... Ana Karbalai Ana Murtazai...(2) Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2) 5. Chala Hurr har ek zulm o zulmat se ladke Woh sufiyaanat se woh daulat se ladke Daulat se ladke.......... Woh jeeta yazeedo'n ki taqat se ladke Gaya paas SHEH ke hukumat se ladke Hukumat se ladke......... Kaha Hurr ne MAULA.....(2) Ne qismat jagayi... Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2) Ana Karbalai Ana Murtazai.....(2) 6. Zamee'n par yeh dosh e NABI ka makee'n hain Yeh ek laash e besar hain tapti zamee'n  hain Tapti  zamee'n hain... Kare koi imdad koi nahi hain Jaha SHEH ka lasha hain MAA bhi wahi hain MAA bhi wahi hain...... Har ek laash maqtal.......(2) Se SHEH ne uthayi.......... Ana Karbalai Ana Murtazai............(2) Ana Karbalai Ana Murtazai .................(2) 7. Yeh Shaam aur Kufe me dil ro raha hain Hain laashe zameen par yeh KARBOBALA hain Yeh KARBOBALA hain....... Yeh ghairat se SAJJAD (A.S.) ka sar jhuka hain Behen hain khule sar phuphi berida hain Phuphi berida hain................. Na tauq e gira ne ..........(2) Hain gardan jhukayi............ Ana Karbalai Ana Murtazai .............(2) Ana Karbalai Ana Murtazai...........(2) 8. Hain sairaab karte Qamar pyaas wale Hussaini mujahid woh Hammaas wale Woh Hammaas wale........ Iraq o Yemen me hain yeh aas wale Hain ZAINAB ke rauze pe ABBAS wale Pe ABBAS (A.S.) wale........ ALI (A.S.) wale karte hain ......(2) Mushkil kushai............ Ana Karbalai Ana Murtazai ...........(2) Ana Karbalai Ana Murtazai.........(2) NAJAF se hain nikle Hussaini jiyalein Ziyarat ki khwahish, Alam hain sambhale Yeh MAHDI (A.T.F.S.) ke naasir .....(2) Hussaini fidaai....(2) Karbalai Murtazai