لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chale aaiye maula

Ali Safdar2018
ShiaNohaLyrics
Aye yusuf e zahra..(2) Aye yusuf e zahra zara jalwa to dikha de aye muntaqim e karbobala parda utha de ye khwahish e zahra hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula Zahra ne bulaya hai chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 1. Aap aaenge to adl se duniya ko bharenge mazloom se  ye zalimo jabir bhi darenge har dil ki tamanna hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 2. Ghurbat ko meri dekh ke kuch laaye hai maula mai ghar mein hu aur ghar mein mere aaye hai maula kal khwaab ye dekha hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 3. Hum hurr ki tarha aaj ki karbal mein ladenge hum kufiyo jaisi koi harkat na karenge kya aapko dhadka hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 4. Purse ke liye baithe hai payghambar o haider shehzadiye kaunain bhi hai farsh e azaa par majlis yaha barpa hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 5. Mayoos zamana hai dua koi nahi hai ab qabr pe zahra ke diya koi nahi hai veeraan madina hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 6. Faryad kuna bint e shehenshah e madina paani ke liye deti hai aawaaz sakina jalta hua kurta hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 7. Roti hai bohot khoo bhare kurte ko utha kar kehti hai rabab aaj bhi jhule ko jhula kar asghar mera pyaasa hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2) 8. Bikhre hue tukde hai qamar waqt kada hai be goro kafan laasha e shabbir pada hai maula ka janaza hai, chale aaiye maula taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)