لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala ashiq e zawwar e hussain

Ali Safdar2018
ShiaNohaLyrics
Apne dil apne ankho mein le chala haath seene pe, pao'n mein aable karbala ki zamee'n tadapne lagi ashiqo ke qadam choone ko badhi hoke betaab zaero se kaha kar diya tumne apna wada wafa chaar su gunj rahi hai ye sadaa.. har azadar ki jaa hai karbala Karbala, karbala..(4) Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2) Badh rahe hai karwa'n dar karwa'n janib e karbobala peer o jawa'n karbala kya hai qibla e ashiqa'n karbala hai ali akbar ki azaa'n karbala zulm par hai zarb e gara'n karbala shauk e shahadat ka baya'n karbala jalwa e anwar e hussain Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2) Is taraf khaimo se uthta hai dhua'n us taraf baithi hui kuch bibiya'n ek masooma kahi'n nauha kuna jis ke rukh par hai tamacho ke nisha'n ek beemar o zaeef o natawa'n azm e shabbiri hai chehre se ayaa'n hai yehi abid e ghum khwar e hussain Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2) Tere daman mein aye dasht e nainawa so rahe hai kaise kaise mehlaqa khoo'n mein ghalta hai shabih e mustafa aur wo qasim hai pamal e jafa chhid gaya teer se nanha sa gala haye asghar tere marne ki adaa ye adaa hai akse paikar e hussain Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2) Ye matam o nauha ye farsh e azaa saniye zahra ki ye sab hai ataa sar se chhini gaya hai jiski rida jisne bete kiye bhai pe fida jiska khutba sare darbar e jafa kar gaya zulm ko ruswa ba khuda zinda zainab se hai lalkare hussain Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2) Aye zafar kaise masaeb ho rakam jab hue bazu e abbas qalam gir kar thanda hua ghazi ka alam zakhmo se choor hai saqqa e haram rakha phir bhi alamdari ka bharam aaj lehrata hai sahil pe alam shane haider hai alamdar e hussain Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)