لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

Ali Safdar2018
ShiaNohaLyrics
Haye sakina, haye pyaas..(2) gila bhi karti nahi apni tashnakami ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka..(2) 1. Wo pehli shaam judayi ki aur wo tanhayi wo ghup andhera wo maqtal wo yaad baba ki..(2) mayaan e dard o alam hai safar yateema ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 2. Hai dastane sitam wo jala hua kurta nisha'n tamacho ke rukhsaar par daleel e jafa..(2) gawahi zulm ki deta hai zakhm seyli ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 3. Talaash seena e sarwar hai aur sakina hai ajeeb hooka sa manzar hai aur sakina hai..(2) na puch haal aye ghazi teri bhatiji ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 4. Phuphi ko takti hai hasrat se ye sukhan keh kar figaar kaano se behta hai khoon reh reh kar..(2) gulu ko karta hai zakhmi hisaar rassi ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 5. Wo wehshatein wo udasi wo khauf aur wo ghazab jo qaid e shaam mein guzri wo sakhtiya'n hai ajab..(2) ye dil ke waaste samaa'n hai ghum gusari ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 6. Padar ke baad kabhi chayn ki na neend aayi ajab sitam hai padar par na khul ke ro payi..(2) wo ghum bhula na saki baap ki judayi ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka 7. Sitam ki saari hado se guzar gayi akhir padar ki yaad mein asif wo marr gayi akhir chalo ye waqt hai zainab se pursa daari ka sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka