لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya mustafa ya mustafa

Ali Safdar2018
ShiaNohaLyrics
Ya mustafa, ya mustafa..(2) Ya mustafa salle alaa..(2) Mehbub e haq, khair ul bashar islaam ke baani nabi shams uz zoha, badr ud duja noor e khuda, shaane wali zakhmi hai dil, zakhmi jigar ye jaanta hai kab koi wo ghum mile hai aapko sakte mein hai saara jaha'n Ya mustafa salle alaa..(2) Ya mustafa, ya mustafa..(2) Pyaare nabi ya mustafa, har aankh hai girya kuna Ya mustafa, ya mustafa..(2) 1. Kya Mustafa ne ghum sahe duniya ko kab maloom hai sab ke liye rehmat hai jo khud kis qadar mazloom hai..(2) qurbaan sab kuch kar diya Ya mustafa, ya mustafa.. 2. Patthar use maare gaye jo rehmat e kaunain tha daef ki galiyo mein lahoo behta raha, behta raha..(2) phir bhi nahi ki baddua Ya mustafa, ya mustafa.. 3. Ye sochte hai mustafa aghosh mein shabbir hai khanjar rawa gardan pe hai zakhmi badan mein teer hai..(2) ayegi ek din karbala.. Ya mustafa, ya mustafa.. 4. Beti pe mere baad phir har zulm dhaaya jayega mohsin shahadat payega ghar ko jalaya jayega..(2) subbat ilayya ki sadaa Ya mustafa, ya mustafa.. 5. Hasnain hai girya kuna nana ki mayyat dekhkar baba chale hai chhod kar zehra ka hai muztar jigar..(2) ab kya karegi fatima Ya mustafa, ya mustafa.. 6. Haider ki aankhein ashk hai taboot mein hai mustafa zehra akeli rehgayi aur puchti hai maamta..(2) wo shaam, kufa, karbala Ya mustafa, ya mustafa.. 7. Zainab ke lab par thi sada lut kar madine aagaye kurta liya shabbir ka marqad pe nana ki chale..(2) mehshar bapa hone laga Ya mustafa, ya mustafa.. 8. Lega wo badla zulm ka ek din Mohammad aakhri uski museebat likh sake haq hai ali safdar yehi..(2) maine qamar nauha likha Ya mustafa, ya mustafa..