لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zamee se aasma talak sada e ya hussain hai

Ali Safdar2018
ShiaNohaLyrics
Jaha'n jaha'n hussain hai waha'n waha'n hai karbala jaha'n jaha'n hai karbala waha'n waha'n hussain hai zamana aaj dekhle kaha'n kaha'n husssain hai hussain ya hussain..(4) Zamee'n se aasma'n talak sadaye ya hussain hai 1. Jaha bhi hoga zikr e haq inhi ka naam aayega uthegi bus yehi sada yehi payaam aayega shahadato mein jab koi kada maqaam aayega batao razm e ghair o sharr mein (kaun kaam aayega)..(2) har ek razm e ghair o sharr ke darmiyaa'n hussain hai 2. Kahi pe unki goonj hai kahi'n pe unka naam hai likha hua furaat ki jabee'n pe unka naam hai jaha'n jaha'n juloos hai wahi'n pe unka naam hai alam bhi keh raha hai ye (zamee'n pe unka naam hai)..(2) alam ki in bulandiyo se jawedaa'n hussain hai 3. Payam e kirdigaar ko amar karegi karbala tamam ehle dard par asar karegi karbala har ek dil ki dhadkano mein ghar karegi karbala har ek daur mein yuhi (safar karegi karbala)..(2) kabhi na hogi khatm jo wo daasta'n hussain hai 4. Bazahir ab nahi rahe zamee'n pe inke jism o jaa'n ufak ufak pe dekhiye kaha'n nahi hai wo yaha'n tamaam ehle haq pe hai inhi ki sar parastiya'n khade hai maqtalo mein jo (unhi pe hai ye meherbaa'n)..(2) inhi azeem manzaro ke paasbaa'n hussain hai 5. Hussain ka qayam hai ana minal hussain se hussain ko dawaam hai ana minal husssain se nabi ka zikr e aam hai ana minal hussain se ye aakhri payaam hai (ana minal hussain se)..(2) isi payaam e akhri ke tarjumaa'n hussain hai 6. Lahu gale se beh gaya magar kalaam reh gaya jaha'n mein isteghasa e labe imam reh gaya sina pe bhi azaan ka jo ehteraam reh gaya azaa'n jo reh gayi to phir (khuda ka naam reh gaya)..(2) jo goonjti hai aaj tak wohi azaa'n hussain hai 7. Shaheed ran mein hogaye sabhi azeez o aqraba payam e marg ban gayi tamam arz e nainawa lahu pehen ke sogaya hussain ka to qafela hussain ka safar magar (na karbala mein ruk saka)..(2) wo dekh baad e karbala sar e sina hussain hai 8. Jo teen din ki pyaas mein tadap gay shahadatein lahu se surkh hogayi jo chand jaisi suratein sune to kis tarha sune batao ye riwayaatein bayaan kis tarha se ho (hussain ki museebatein)..(2) sarapa dard o karb ki bas ek fugha'n husssain hai 9. Hilal zulm o jaur se fiza ye kya bhari nahi bohot kadi hai manzile ye waqt sar sari nahi sipahe shimr o saad ki kaha'n sitamgari nahi yazid to guzar gaya (yazidiyat mari nahi)..(2) yazidiyat ke waaste qaza e jaa'n hussain hai zamana aaj dekhle kaha'n kaha'n husssain hai hussain ya hussain..(2) Zamee'n se aasma'n talak sadaye ya hussain hai hussain ya hussain..(2)