لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Roze pe mustafa ke

Ali Shanawar and Ali Jee2016
ShiaNohaLyrics
Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai arey, rokar pukari nana mai, faryaad laayi hu mai chhod kar hussain ko jungle mein aayi hu {Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai}..(2) 1. Nana ajeeb sanaye humpar guzar gaye ranjo alam ne gher liya hum jidhar gaye nana khuda ke ghar me na humko amaa'n mili bhai ne sheher chhod ke jungle ki raah li 2. Nana hamare ghar ka sab asbaab lut gaya nana hamare sar pe na baaqi rahi rida nana hazaar tarha jafa ki la'eeno ne khaimo'n me haaye aag laga di la'eeno ne 3. Nana shaheed hogaye bhai ke jaa nesar ek ek kar ke mar gaye ashaab zee weqaar nana bala ke bann me qayamat ka rann pada bhai se bhai, baap se beta bichad gaya 4. Nana zameen karbobala laal hogayi qasim ki laash ghodo'n se pamaal hogayi nana katake shaano ko abbas margaye ghurbat me bhaijaan ko be aas kar gaye 5. Nana aseer bara the aur ek thi rasan bandhe gaye the misle gunahgaar e khastatan nana hum apne haal pe rote the baar baar nana hamarae haal pe haste the badd sheyaar 6. Itne me ek shaami ne nana ghazab kiya saydani ko kaneezi me usne talab kiya hoti thi laakh zillate hum dekhte rahe has has ke taaziyane sitam jhelte rahe 7. Nana tabaah hoke hum aaye hai shaam se ek daaghe no sakina ka laaye hai shaam se ab tak hai neel rassi ke shaano ko dekhlo nana hamare tann pe nishano ko dekhlo 8. Zainab jo roke karti thi qabr e nabi pe bayn tharra raha tha roza e sultan e mashraqayn bus khatm kar nisaar ye ghum naak daastaan roye hai is alam mein zamee'n aur aasmaa'n